Friday, July 31, 2015

Romantic Urdu Poetry, Part-24

·

butterflyKal waqt mela tu zulfain tairi suljha donga
Aaj uljha hon zara waqt ko suljhane mai
.
Yun sulajh jati hain uljhi zulfain
Umar kat jati hai waqat ko suljhane mai

butterflyDil ki lagi kia hai zara muskura ke dekh
Aansu baha raha hai, kabhi dil jala ke dekh
.
Parwana jal raha hai magar jal raha hai kion
Yai raaz jan-na hai tu khud ko jala ke dekh

butterflyNa jane kion maire dil ko yai ehsaas hota hai
Tu mujh se door bhi ho tu pas hota hai
.
Maire dil-e-nadan ne tujh ko itna chaha
Tumhare “SMS” se jeewan ka ehsaas hota hai

butterflyAankhon mai ansowon ko ubharne na dia
Matti ke motiyon ko bikharne na dia
.
Jis rah pe pare the tere qadmo’n ke neshan
Us rah se kesi ko guzarne na dia

butterflyAap ki dosti ki ek nazar chahie
Dil hai be-ghar ek ghar chahie
.
Bas yun hi sath chalte raho ae dost
Yai dosti hamain umar bhar chahie

butterflyRukta bhi nahi, teekh se chalta bhi nahi
Yai dil hai ke tere baad sanbhaltha bhi nai
.
Es umar ki sahra se teri yaad ka badal
Talta bhi nahi owr barasta bhi nahi

butterflyMere hatho’n se gir gayi lakerien kahi
Bhool aye’n hum apni taqdeerien kahi
.
Agar mele tum ko kahi tu utha lena
Mere hesse ki har khushi apni hatho’n pe saja lena

butterflyKesi na kesi pe kesi ko aitbar ho jata hai
Ajnabi koi shakhs yar ho jata hai
.
Khubiyo’n se nahi hoti muhabbat sada
Khamiyon se bhi aksar payar ho jata hai

butterflyZindagi tujh se sang-e-ulfat si lagti hai
Ek pal ki judayi muddat si lati hai
.
Pehle nahi ab sochte hain hum
Har lamha tumhari zarorat si lagti hai

butterflyMuskura do zara khuda ke waste
Shamma-e-mehfil mai roshni kam hai
.
Tum hamare nahi tu kia gum hai
Hum tumhare tu hain yai kia kam hai?

butterflyTairi muskan hamari kamzori hai hai
Kahna para hamari majbori hai
.
Tum kion nahi samajty hamari khamoshi ko
Kia khamoshi ko zuban daina zarori hai

butterflyHum ne khuda se dua mandi
Dua mai apni mot mangi
.
Khuda ne kaha, usey kia don?
Jis ne dua mai tairi lambi umar mangi

butterflyYado’n ki dhund mai ap ki parchayi si lagti hai
Kano’n mai gonjti shehnayi si lagti hai
.
Ap qareeb ho tu apna pan hai
Warna seeny mai saans bhi parayi si lagti hai

butterflyMausam tha be-qarar tumhe sochta raha
Kal rat bar bar tumhe sochta raha
.
Barish howi tu ghar ki dewaro’n se lag ke
Mai chup chap sogwar tumhe sochta raha

butterflyAap ki muskaan hamari kamzori hai
Keh na pana hamari majbori hai
.
Aap kion nahi samajhte es khamoshi ko
Kia khamoshi ko zuban dena zarori hai

butterflyBhulana tumhe na asaan hoga
Jo bhule tumhe wo nadan hoga
.
Ap tu baste ho rooh mai hamari
Ap hame na bhulana ye apka ehsan hoga

butterflyToot gia dil par armaan wahi hai
Door rehte hain phir bhi payar wahi hai
.
Jante hain ke mel nahi sakte
Phir bhi ankhon mai intezaar wahi

butterflyKesi ko mohabbat ki sachayi maar gayi
Kesi ko mohabbat ki gehrayi maar gayi
.
Kar ke mohabbat koi nahi bach sake ga
Jo bach gia, usey tanhayi maar gayi

butterflyEk adat si hogayi hai chot khane ki
Bheegi howi palkon ke sang muskurane ki
.
Kash anjam-e-wafa hum pehle hi jante
To “KOSHISH” bhi nahi karte dil lagane ki

butterflyRaat hogi tu chand duhayi dega
Khwabo’n mai ap ko wo chehra dekhayi dega
.
Yai mohabbat hai zara soch ke karna
Ek ansu bhi gira tu sunayi dega

Subscribe to this Blog via Email :