Friday, July 31, 2015

Romantic Urdu Poetry, Part-23

·

butterflyZindagi ek chahat ka silsila hai
Koi mel gia tu koi bechar gia
.
Jissy manga ta duawon mai
Wo kesi owr ko bina mangy mel gia


butterflyYad mai tairi ahien bharta hai koi
Har saans ke sath tujhe yaad karta hai koi
.
Mot tu sachayi hai, ani hai ek din
Tairi judayi mai har roz marta hai koi

butterflyDil torna hamari aadat nahi
Dil hum kesi ka dukhaty nahi
.
Bharosa rakhna mairi wafawon par
Dil mai basa ke hum kesi ko bhulaty nahi

butterflyYun hi tanhayi mai hum dil ko saza daity hain
Naam lekhty hain taira, likh kar meta daity hain
.
Yai soch kar rahny dia armano ko dil mai
Mehman khabi ghar se nekaly nahi jaty

butterflyKitni jaldi yai mulaqaat guzar jati hai
Pyas bujthi nai ke barsaat guzar jati hai
.
Apni yaadon se kaho ke yun yaad na ayain
Neend ati nahi owr raat guzar jati hai

butterflyDil chahta hai tum se pyari si baat ho
Khamosh train ho, lambi raat ho
Phir un se raat bhar yahi mairi baat ho
Tum hi zindagi, tum hi mairi kayenat ho


butterflyDil ke reshty bhi ajeeb hoty hain
Door reh kar bhi qareeb hoty hain
.
Jo log apko roz daikthy hain
Wo log kitny khush-naseeb hoty hain

butterflyHum wo nahi Jo tum ko gum mai chor daingy
Hum wo nahi Jo tum sai naata chor daingy
.
Hum wo hain Jo agar tairi saansain
Ruk Jaye tu tujh se apni saansain jor daingy

butterflyHansna hamara kesi ko gawar nahi hota
Har musafir zindagi ka sahara nahi hota
.
Melty hain boht log es tanga zindagi mai
Par har koi tum sa pyara nahi hota

butterflyWo tu khushbo hai hawawon mai bikhar jayega
Masla tu phool ka hai, phool kidhar jayega
.
Hum tu samjhe the ek zakham hai bhar jayega
Kia khabar thi ke rag-e-jaan mai utar jayega

butterflyAap ko bhool jawo’n umar guzarne ke baat hai
Aap ko na ho yaqeen, yai owr baat hai
.
Jab rahegi saans tab tak rahogy yaad
Yai saans toot jaye tu owr baat hai

butterflyKion hamaisha kesi ki talaash hoti hai
Yun dil ko kesi ki aas hoti hai
.
Chand ko dekho wo bhi tanha hai
Phir bhi chandni se roshan uski raat hoti hai

butterflyYad ane wale yad aye ja rahe hain
Maire khayalon ke dunia par chaye ja rahe hain
.
Hum kuch kah rahe hain par wo chup hai
Bus maire msg parh kar muskuraye ja rahe hain

butterflyWo root thay rahy hum manaty rahe
Un ki raahon mai phalkain bechaty rahe
.
Unhon ne khabi palat ke bhi na dekha
Hum aannkh jhapkane se bhi darte rahe

butterflyAaj hum unhe bewafa bata kar aye hain
Unke khato’n ko pani mai baha kar aye hain
.
Koi nekal kar parh na le unhe
Eslie pani mai bhi aag laga kar aye hain

butterflyAe maire hum-nashee’n kahee’n owr chal
Es chaman mai ab apna guzara nahi
Baat hoti gulo’n tak tu seh laite hum
Ab tu kanto’n pe bhi haq hamara nahi


butterflyTaire hath jo kanto’n pe ayengy
Wahi kantain maire dil ko cho jayengy
.
Dard tairy hathon mai hoga
Par log us dard ko mairi ankhon mai payengy

butterflyToot jaty hain sabhi reshty magar
Dil se dil ka raabta apni jagah
Dil ko hai tujh sai na melny ka yaqeen
Tujhe pa laine ki dua apni jagah


butterflyUssey chaha bhi tu ezhaar na karna aya
Kat gayi umar sari magar hamin pyar na karna aya
.
Us ne manga bhi kuch tu judayi mangi
Owr hamain inkaar na karna aya

butterflyJab howa hai wo khwaab ki tarah
Zindagi guzar rahi hai azaab ki tarah
.
Khushbo ke qalam se shayed lekha tha us ne
Khath ka har lafz mehk raha hai gulaab ki tarah

Subscribe to this Blog via Email :