Friday, July 31, 2015

Romantic Urdu Poetry, Part-22

·

butterflyLakh pakiza ho kisi mukhlas ka piyar
Wapt k hath khuch zkhm lga hi dety hin
Hm tu ibne aadm hin hmari bat hi kiya
Loh tu yousf pe B ilzam lga dety hin


butterflyNigah e yaar pe palko’n ki agar lagaam na ho
Badan mein door talak zindagi ka naam na ho
Wo be naqaab jo phirta hai gali kucho’n mein
To kaise shehar ke logo’n mein qatal e aam na ho
Mujhe yaqeen hai ke duniya mein dard barh jaein
Agar ye peeney pilaney ke ehtamaam na ho
Bitha ke saamne bus dekhta rahun us ko
Is ke siwa mujhe duniya ka koi kaam na ho
Jo us ko dekh le ek mehtaab ek nazar Mohsin
Mare shehar ki galiyo’n mein kabhi shaam na ho

butterflydor ho kr b meray Kareeb ho,
meray dil se pocho kitne aziz ho,
Apni Hathli ko kabi ghor se dekho,
Shahid un main mera b Naseeb ho
?

butterflyumeed na rakhna kisi sy tum ,,sachy,, pyar ki ,Fraz, aksar log dhokha detey hain toot kar ,,chahne,, walon ko. bye Hussain



butterflyMere Wujood Mein Waffa Ki Roshni Utaar De,
Phir Itna Pyar De K Mujhko Chahaton Mein Maar De.
Buhut Udaas Tha So Uthh K Tere Paas Aagya,
Kuch Aesi Baat Ker Jo Dil Ko Chaen De,Qarar De.
Suna Hai Teri Ek Nazar Sanwarti Hai Zindagi,
Jo Ho Sake To Aj Meri Zindagi Sanwar De.
Ae Mehtaab Tu Kabhi Jo Mera Chaand […]

butterflyZindagi Sirf Mohabbat Nahi
Kch Aur Bhi Hy
Zulf-o-Rukhsar Ki Jannat Nahi
Kch Aur Bhi Hy
Bhool-o-Aflas Ki Is Maari
Hui Dunya Main
Ishq Hi Ek Haqiqat Nahi
Kch Aur Bhi Hy

butterflyMare Wafa Ka Naksh Her Ek Dil Main Rah Gaya
Mahfil Se Youn Utha Houn K Mahfil Main Rah Gaya
Ek Aek Ker Ka Mit Gaye Sab Naksh-E-Maasiwa
Ek Dard-E-Ishq Tha Jo Meray Dil Main Rah Gaya
Us Nay Sitam Se Hat Uthaya Sitam Kiya
Dil Gher K Aaj Ek Naye Mushkil Main Rah Gaya
Gum Tu Teray Aaman Hi Kahain […]

butterflyIs Us ka honton ka tabassum rahay qayaim “YA RUB
Us ka jeevan main khushiyon ka basaira ker day
Tu meri “KARB ki raaton ko bhalay khatam na kar,
Us ke her shaam k aakhir mai “SAWAIRA ker day.
Us ka “DIL k kisi konay main jaga day mujh ko
Us ki “AANKHON ko meray sapnon say khaira ker day
Yeh meray dil ki dua hay “MERA MOLA SUN LAY
Saaaari duniya say chupa ker “USSAY MERA KER DAY

butterflyIs sheher K Logo Ki Ye Aadat Purani Lagti Hy
Kisi K Jazbaton Se Khelna In Ko Nadani Lagti Hy
Jidher Dekho Ek Gham Ka Aalam Milta Hy
Har Dewaane Ki Dastan Kuch Apni Kahani Lagti Hy
Wo Kya Jane Mohabat Ek Nemat Hy Yaaro
Jinko Logon Ki Sirf Surat Hi Suhani Lagti Hy

butterflyKab usko Intizar mera tha
Ye to bus aetibar mera tha
Kuch meri hi khush fehmi thi
Shayad k us pr Ikhtiyar mera tha
Kabi uski na Halat hoi wesi
Jese dil BEQARAR mera tha
Ghamon mai qaid kr gaya mujhko
Wohi jo Gham Gusaar mera tha
Main kese bhol jaon ase shaks ko
Jo kbi ek baar mera tha

butterflyAy sard sard raat mujhay Chand chahye
KARNI hai dil ki bat mujhy Chand chahye
Uljhi hoi firaq ki raton k darmeyan
Tanha hai meri zat mujhe Chand chahye
Bachpan ki zid nhe jawani ki bat hai
Ay meri kainat mujhe chand chahye
Chehre se abh niqab ka badal utar do
Ab man jao baat mujhe chand chahye
Dekha hai mene din mujhe raat chahye
Suraj say nahi piyar mujhe chand chahye

butterflyMit gaya hun mujh ko mita rehnay do
Meray jazbat k sholon ko bujha rehnay do
Dard sehnay ki ho gai hai ab aadat mujh ko
Meray ristay huay zakhmon ko hara rehnay do
Ab to tabeer ki hasrat he nahe hai mujh ko
Meri ankhon mein mera khawab chupa rehnay do
Muskurahat pe mera haq he nahe hai yaaro
Meray honton say tabassum ko khafa rehnay do
Dil jo toota hai to ankhein na chalak jayen
Aaj ankhon ko in ashkon say bhara rehnay do

butterflykabhii mujh ko saath lekar, kabhii mere saath chal kar
vo badal gaye achaanak merii zindagii badal kar
huye jis pe meharabaa.N tum ko_ii Khush_nasiib hogaa
merii hasarate.n to nikalii.n mere aa.Nsuuo.n me.n Dhal ke
terii zulf-o-ruKh ke qurbaa.N dil-e-zaar Dhuu.NDhataa hai
vahii champa_ii ujaale vahii surama_ii dhu.ndalake
ko_ii phuul ban gayaa hai ko_ii chaa.Nd ko_ii taaraa
jo chiraaG bujh gaye hai.n terii a.njuman me.n jal ke
mere dosto Khudaaraa mere saath tum bhii Dhuu.NDo
vo yahii.n kahii.n chhupe hai.n mere Gam kaa ruKh badal ke
terii bejhijhak ha.Nsii se na kisii kaa dil ho mailaa
ye nagar hai aa_iino.n kaa yahaa.N saa.Ns le sambhal ke

butterflytere aane kaa dhokaa saa rahaa hai
diyaa saa raat bhar jaltaa rahaa hai
ajab hai raat se aaNkhoN kaa aalam,
ye dariyaa raat bhar chaRhtaa rahaa hai
sunaa hai raat bhar barsa hai baadal,
magar vo shah’r jo pyaasaa rahaa hai?
vo ko’ii dost thaa achche dinoN kaa,
jo pichhlii raat se yaad aa rahaa hai
kise DhuuNDoge in galiyoN meN “Nasir
chalo ab ghar chaleN, din jaa raha hai

butterflyusse bhi apne kiye ka malaal hona hai,
Abhi to ishq mein aisa bhi haal hona hai.
Har aik lab pe hain meri wafa ke afsanay,
Tere sitam ko abhi lazawaal hona hai.
Tumhein khabar hi nahin,tum to lot jao ge,
Tuhare hijar mein aik lamha saal hona hai.
Humari rooh pe jab bhi azaab utrein ge,
Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hai.
Kabhi to roye ga wo bhi kisi ki bahon mein,
Kabhi to uski hansi ko zawaal hona hai.
Mile gi hamko bhi apne naseeb ki khushiyan,
Bas intazar hai kab ye kamal hona hai.

butterflywoh baat baat mein itna badalta jaata hai
keh jis tarhaan koi wadda badalta jaata hai
Yeh arzoo thi keh hum us kay sath sath challain
magar woh shakhas tu rasta badalta jata hai
jo taiz dhoop mein sar par raha wohi anchal
hawa chali hai tu kitna badalta jata hai
ruttein visaal ki aab khawb honay wali hein
keh us ki baat ka lehja badalta jaata hai
woh baat kar jisay duniya bhi mo?atbar samjhay
tujhay khabar zamana badalta jaata hai
yeh arzoo thi keh hum uss kay sath sath chalain
magar woh shakhas tu raasta badalta jata hai

butterflyKoi Chupke Chupke Kehta Hai,
Koi Geet Likho Meri Aankhon Par,
Koi Sher Kaho Mere Lafzo Par,
In Khushbu Jaisi Baato Par,
Chup Chaap Main Sunta Rehta Hoon,
Phir In Jheel Si Gehri Aankhon Par,
Ek Taaza Ghazal Likh Deta Hoon,
In Phool Si Jaisi Baato Par,
Ek Sher Naya Keh Deta Hoon,
Ye Geet Ghazal Sher Mere,
Sab UsKe Pyaar Ka Darpan Hai,
Sab UsKe Roop Ka Roshan Hai,
Sab UsKi Aankh Ka Kajal Hai..!!!nm

butterflyIk shaks pass reh kar bhi samjha nahi mujhe..
Is baat ka malaal hai shikwa nahi mujhe..
Mein us ko bewafaii ka ilzaam kaise doon..
Us ne to ibtada se hi chaha nahi mujhe..
Kya kya umeedain baandh k aaya tha samnay..
Us ne to aankh bhar k bhi dekha nahi mujhe..
Pathar samajh k paoon ki thokar bana liya..
Afsoos teri aankh ne parkha nahi mujhe..
Kab teh
a tha mujh ko ‘Hasan’ aaj us k pass..
Acha hua k us ne bhi roka nahi mujhe..”

butterflyshehr-e-Muhabbat hijr ka mousam,ehed-e-wafa or mein
tu to is basti se khush khush chala gaya , or mein …??
tu jo na ho to jaise sab ko chup lag jati hai
apas mein kya batein kertey raat, diya or mein
sair-e-chhaman adat thi pehley ab majboori hai
teri talash mein chal pertey hein bad-e-saba or mein
jisko dkeho teri hava mein pagal phirta hai
we
a hum mashrab to nahi they khalq-e-khuda or mein
aik to wo humraz mera hai phir tera maddah
bas tera hi ziker kya kertey hein Zia or mein
aik zamaney bad ‘Faraz’ ye shair kahey meine
ik muddat se miley nahi hein yaar mera or mein

butterflyNa Woh Farishta Ho Na Farishtey Jaisa Ho
Mujhay Talash Hay Us Ke Jo Meray Jaisa Ho
Mare Khaloos Ko Pehchanta Ho Bas Kafi Hay
Woh Koi Bhi Ho Kahin Bhi Ho Kaisa Bhi Ho
Jo Khuwab Denay Ko QaDir Ho Meri Aankhon Ko
Meri Muhabbat Ko Pehchan Sakay Woh Aisa Ho
Agar Kabhi Rooth Jaoon May Us Say To
Muskra K Manaye Woh Aisa Ho
Jo Baat Karey To Woh Nibha Bhi Sake
Iradon Mein Woh Apne Chahtaoon Jaisa Ho
Dukhon Mein Hansney Ka Hunar Janta Ho
Ik Aisa HumSafar Jo Samander Ki Tarha Gehrah Ho
Us K Pyar Ki Thandak Ho Mare Liyae Aisi
K Woh To Bilkul Aasman K Chand Jaisa Ho
Woh Sirf Mera Ho Jo Nighaon Main Haya Rakhta Ho
Umar Bhar Sath Chale Woh Aisa Ho

Subscribe to this Blog via Email :