Friday, July 31, 2015

Romantic Urdu Poetry, Part-25

·

butterflyYe bhi accha hua k uSsay paa na skay SAQI,
Hamara ho k bichharta to qyamat hoti.

butterflyThak k girta hai ye shaheen to khyal aata hai,
Jaan leva hai kisi chand ki chahat KRNA.



butterflyJab mai lotun ga to sadiyon ki umar laoun ga,
K tere paas mujhe mukhtasir nahi rehna.



butterfly1 pal k liy ahsan ban kar aa jate ho
doosry hi pal khawab ki tarah urr jate ho
jante bhi ho k dar lagta hai tanhiun sy
Phir bhi tanha chor kar chaly jate ho

butterflyKuch door hamare saath chalo
Hum dil ki kahani kehdein ge
Samjhe na tum jisse aankhon se
Woh baat zubaani kehdein ge Jo pyar karein ge jaanein ge
Har baat hamari maanein ge
Jo jaley na hon khudh ulfat mein
Woh aag ko paani kehdein ge
Jab pyaas jawan ho jaye gi
Ehsaas ki manzil paye gi
Khamosh rahein ge aur tumhein
Hum apni kahani kehdein ge
Is dil mein zara tum baitho to
Kuch haal hamara poocho to
Hum sada dil hain ââ.šÂ¬Ã….œAshkââ.šÂ¬Ã‚ mager
Har baat poorani kehdein ge

butterflyMohabaat mein ibadaat ki thi uski
hooton par naam uska,
dil mein tasveer thi uski
par mohabaat k badle mein
humein mohabaat nahi mili jiss
mehfil mein khade khade lut gaye,
wo mehfil thi uski……..’
Teri judai bhi hamein pyar karti hai,
teri yaad bahot
bekrar karti hai,
vo din jo tere sath guzare the,
talash unko nazar bar bar karti hai

butterflySitaro tum to so jao
Pareshan raat sari hay
Sakoon par marg tari hay
Humein to aaj ki shab
Pou phate tak jagna ho ga
Yehi kismat hamari hay
Tumein kiya hum agar
Lute gaye hai mohabbat main
Yeh bazi hum ne hari hay
Humein bhi nennd aa jayegi
Hum bhi so hi jayein ge
Abhi kuch bekarari hay

butterflyMasoom mohabbat ka bas itna sa fasaana hai,
Kaagaz ki haveli hai, baarish ka zamaana hai,
Kya shart-e-mohabbat hai, kya shart-e-zamaana hai,
Aawaz bhi zakhmi hai, aur geet bhi gaana hai,
Uss paar uta
e ki ummeed bahot kam hai,
Kashti bhi purani hai, toofan ko bhi aana hai,
Samjhe ya na samjhe wo andaaz mohabbat ke,
Ek shaqs ko aakhon se, ek sher sunaana hai,
Bholi si adaa, koi phir ishq ki zidd par hai,
Fir aag ka dariya hai, aur doob ke jaana hai

butterflyAansuon ki awaz kuch aur hoti hai.
dooriyan ki aag kuch or hoti hai.
kon cahta hai TUM se door rehna
magar majboriun ki bat ki=uch or hoi ha…..

butterflyJaany lagy tre shahar sa to tuja alvida b na keh sake.
Tri sadgi thi k tuje bewafa b na keh sake
Hum ko tere ishq mein itne gary sagar
Khud ko sahil pen a kar sake
Teri diwangi the sheyad
Hum a le wafa shedad wafa na kar sake
Dondaty rahe hm moqa kp jaein jam sara
Afsos raha ga sada ab ye hm tujy alvida na keh sake

butterflyTere Bina hum jeena bhool jaate hain
Zakhmon ko seena bhool jate hain..
Tu zindagi main sabse azeez hai hamain..
Tujhse har bar yeh kehna bhool jaate hain.

butterflyHusn-e-Shamma Likhon Ya sharab Likhon
HumDum Likhon, Sathi Likhon Ya Khuwab Likhon
Tera Sarapa-e-Husn say Heran Hoon me
Mehjabeen Likhon Sehar Likhon ya Aftab Likhon
Tery Zulf Chupati hey chehra tera
Raqeeb Likhon, Nagin Likhon ya Naqab Likhon
Nazar Utha Kar jo chal diyey app
Berukhy Likhon , bewafa Likhon Ya Hijab Likhon

butterflyMeri Aankhoon pay marta tha
Meri batoon pay hansta tha….
Najany “Shakks” tha kasa
Mujhay khony say Darta tha
Mujhay wo Jab b milta tha…!
Yhi ek bat kahta tha,
SUNO….!
Agr main rooth jaun to…
Kabhi wapis na aaun to…
YOUNHI hansty raho gy kya?
Younhi sajty raho gy kya
Younhi banty raho gy kya
Yahe “YADEEN” hain bs uc ke…
Yahe “BATEEN” hain bs uc ke…
Mujhay bs hay pata itna….
Mujhay wo “PYAR” karta tha…
Mujhay “KHONY” sy darta tha.

butterflyKuch raaz hain mere seenay main
Din kam hain mere jeenay main
Mujhay dheeray dheeray kahnay do
Apnay dil main mujh ko rahnay do
Mere bojhal palkain kahti hain
Yeh tujh ko takti rahti hain
Main sab kuch kahna chahta hun
Bus tera hona chahta hun
Ajeeb khwahis main khona chahta hun
Tere goad main sar rakh kar sona chahta hun
Mujh par itna ahsan tu kar do
Eik din mere naam tu kar do
Phir na laut kar aon ga
Na tujh ko kabi sataon ga
Yeh mera tujh say wada hai
Ab kah day jo b irada hai

butterflyKaise btaon kaisi hain teri aankhin
Madhosh sa bna deti hain teri aankhin
Jab saam’ne mere tum aati ho
Apni gehri jheel me dabu deti hain teri aankhin
Kuch qaabu nahi rehta mujhe khud par
Dekhta hon jab naqab me teri aankhin
Ho gaya hai kaisa jaadu mujh pe
Hr su nazar aati hain teri aankhin
Kisi aur ki traf ab kiy dekhna SHAMS.
Jab se dekhi hain dilfreeb teri aankhin

butterflyKash Mey Teray Haseen Hat Ka Kangan Hota
TO Bare Pyar Se Chawo Se Bare Maan K 7
Apni Nazuk C Kalai Mey Charati Mujko
Aur Betabi Se Farqat K Khazan Lamho Mey
Tu Kisi Soch Mey Dobi Jo Goma Karti Mujko
Mey Teray Hat Ki Khushbo Se Mahek Sa Jata
Jub Kabi Mod Mey A Kar Muje Choma Karti
Teray Honto Ki Mey Hidat Se Dahek Sa Jata
Rat Ko Jab B Tu Nendo K Safer Per Jati
Mar Mare Hat Ka Ek Takya Banaya Karti
Mey Teray Kan Lag Kar Kai Bate Karta
Teray Zulfo Ko Teray Gal Ko Choma Karta
Jab B Tu Band Kaba Kolne Lagti Janan
Apni Aanko Ko Teray Husan Se Khera Kata
Mujko Betab Sa Rakta Teri Chahat Ka Nasha
Mey Teray Roh K Gulshan Mey Mahekta Rehta
Mey Teray Jism K Aahan Mey Kanukta Rehta
Kuch Nahi Tu Yahe Be nam Sa Banda Hota
Kash Mey Teray Haseen Hat Ka Kangan Hota

butterflysath hum chale to aitraz na KaRNa,
kabhi hm kuch mange to inkar na KRNA,
tum hi ek ho mere aziz w
a dil ne kaha hai,
kisi pe aitbar na.. KaRNa

butterflyKuch josh jawani da c yaaro,
kuch oh vi bahut sohni c,
kuch mausam pyaar wala c,
ohda hassa meri khamoshi c,
ik arsa ho giya dekhiyan nu,
jeenu vekhna roz zaruri c.

butterflyHar Taraf Bas Aks Us Ka Dhoondna Acha Laga,
Chahaton Ki Chandni Men Ghoomna Acha Laga,
Do Ghari Ko Band Kar Ke Saray Andeshon Ke Dar,
Tum Ko Dekhna
Tumhi Ko Sochna Acha Laga,
Wo Meri Neem Shab Ho Ya Ibadat Ho Koi,
Har Dua Men Bas Tumhi Ko Maangna Acha Laga,
Door Tak Chaai Hoi Thi Teri Yaadon Ki Ghata,
Halki Halki Barishon Mein Bheegna Acha Laga,
Dil Nasheen Lehja Tha Uska Munfarid Andaaz Tha,
Kehtay Kehtay Kuch Kisi Ka Sochna Acha Laga…

butterflychehra mera tha nigahen us ki
khamushi main bhi wo baten us ki
mere chehre pe gazal likhti gain
sher kahti hui ankhen us ki
shokh lamhon ka pata dene lagin
tez hoti hui sansen us ki
aise mausam bhi guzare ham ne
subhen jab apni thin shamain us ki
dhyan main us k ye alam tha kabhi
ankh mahtab ki yaden us ki
faisala mauj-e-hawa ne likkha
andhiyan meri baharen us ki
nind is soch se tuti aksar
kis tarah katati hain raten us ki
dur rah kar bhi sada rahti hai
mujh ko thame hue bahen us ki

Subscribe to this Blog via Email :