Friday, July 31, 2015

Romantic Urdu Poetry, Part-18

·

butterflySapno se dil lagane ki aadat nahi rahi,
har waqt muskurane ki aadat nahi rahi,
ye soch ke ki koi manaane nahi aayega,
ab hume rooth jaane ki aadat nahi rahi
 
butterflyMohabbaton ki saza be misaal di hai usne, udas rehne ki adat si daal di hai usne
Mene jab bhi apna banana chaha usko, baton baton main baat taal di hai usne

butterflySawaal pani ka nahi pyaas ka hai,swaal maut ka nahi saans ka hai,
Dost to dunia main Bohat Hain magar, Sawal dosti ka nahi aitbaar ka hai

butterflyZikar krta hai “DIL suba shaam tera,
Girte hain Aansu Banta ha NAAM tera,
Kisi aur ko Q Dekhen ye Aakhen,

butterflyKahte hai rishta banana zindagi hai,
rishta nibhana zindagi hai,
kitane bhi busy Q na ho;
dinbhar magar 1 pal k liye hi sahi,
APNO ki yaad aana hi zindagi hai,

butterflyMEREI KHUSHI MEIN TUM KHUSH HO,
TUMHARI KHUSHI MERI RAAHT HO,
GILLE HOON SHIKWAY HOON,
PIYAR BHARI ESSI KOI BAAT HO,
MEIN AUR TUM MIL BETHEIN,
ESSI KOI TU AKHiR RAAT Ho,

butterflyBe-karaan tanhaaiyun ka silsila reh jaayega
Terey merey darmiyaan bas ek khalaa reh jaayega
Aks beh jaayenge saarey dhoop ke sailaab mein
Aur koye paaniyoun mein jhaankta reh jaayega
Mujhko merey humsafar, aisa safar darpesh hai
Raasta kat bhi gaya tou faasila reh jaayega
Laug so jaayenge khaamushi ki chadar odh ker
Chaand sooney aanganoun mein jaagta reh jaayega

butterflyPooch Lo Tum Bhi Is Zamane Se,
Pyar Chupta Nahi Chupane Se,
Paas Aate Ho Chhute Ho Baat Karte Ho,
Kabhi Matlab Se Kabhi Bahane Se,
Pyar Dil Me hai To Lao Zubaan Pe,
Aag Badhti Hai Ye Bujhane Se,
Tumhe Na Paana Shayad Behtar Hai,
Paa Ke Phir Se Tumhe Ganwane Se
butterflyChalo Ek Dua To Apni Puri Hui,
Mil Liye Apne Ek Deewane Se,
Roye Jaate Ho, Bas Roye Jate Ho,
Kya Hoga Ye Moti Lutaane Se,
Karo Koshish Ki Kurabatein Hi Rahein,
Dooriyan Badh Jaati Hai Badhane Se,
Kya Sunayein Kisiko Raaz-E-Dil,
Dard Bhi Badhta Hai Sunane Se,
Bhool Jao Kar Ke Achha Hai
Ehsaan Rehta Nahi Jatane Se.

butterflyKhush haal se tum bhi lagtey ho
Yoon afsurda to hum bhi nahi
Per janeny waley jantey hain
Khush hum bhi nahi khush tum bhi nahi
Tum apni khudi ke pahrey main
Aur daam-e-garoor main jakrey howay
Hum apney zayam ke narghey main
Anaa haath hamara pakrey howay
Mahsoor-e-tlatam aaj bhi ho
Go tum ne kinarey dhoond liyey
Toofan se sunbhley hum bhi nahi
Kehney ko saharey dhoond liyey
Khamoosh se hum tum mohar ba lab
Jug beet gaiy tik baat keyey
Chloo khel adhoora choortain hain
Bina chaal chaley bina maat keyey
Jo bhaagtey bhaagtey thak jayan
Wo sayai ruk bhi saktey hain
Chloo toroo kasam chloo iqrar karain
hum doonon jhuk bhi saktey hain

butterflyTum roth jao mujhse, Aisa kabhi na KERNA,
Main ik nazar ko tarsoon, Aisa kabhi na KERNA,
Main poch poch haron, so so sawal kar k,
Tum kuch jawab na do, Aisa kabhi na KERNA,
Main kisi roz tum ko sada dun,
Aur tum na aao, aisa kabhi na KaRNa,
Tum chaley jao jab bhi to dekhon tumhara rasta,
Tum loat k na aao, Aisa kabhi na KaRNa
.!!

butterflyShayad Kabhi Wo Aye Meri Reguzer May
Bus Es Liay Hi Hum Nay Raste Ko Sajja Rakha Hia,
Shayad Kabhi Wo Yaad Kare Mujko Kisi Pal
Bus Es Liay Os Ki Yaad May Zamanay Ko Bhula Rakha Hai,
Shayad Kabhi Wo Poche Mujse Hal-e-Dil Mera
Bus Es Liay Hi Hum Nay Osay Dil May Basa Rakha Hai,
Shayad Osay Pasand Nahi Aankh May Ansoo
Bus Es Liay Lab Pe Hasin Ko Saja Rakha Hai,
Shayad Kabhi Wo Poch Lay Dil May Kon Hai
Bus Es Liay Dil Pe Oska Nam Likha Rakha Hai
Shayad Kabhi Wo Likh Ley Apne Dil Pe Mera Nam
Bus Esi Umeed Pe Daman-e-Dil Ko Phaila Rakha Hai ,
Shayad Kabhi Wo Lot Key A Jaey Mere Pass
Bus Esi Liay Hi Hum Nay Darwaza Khula Rakha Hai

butterflyMae Unko Apnay Dil Ka Mehman Na Banaon Gi
Logo Kia Mae Un Bin Reh Bhi Paon Gi
Per Herf E Shikayat Labon Pay Na Laon Gi
Apni Zaat Ki Talash May Khuda Tuk Jaon Gi
Muqudar Ki Siyahi Badli Hay Na Budlay Gi Imran
Safaid Kupron May Hi Apni Kabr Tuk Jaon Gi

butterflyTere Bina hum jeena bhool jaate hain
Zakhmon ko seena bhool jate hain..
Tu zindagi main sabse azeez hai hamain..
Tujhse har bar yeh kehna bhool jaate hain.

butterflyAAj mein ne apna aik khuab kho diya …
aankhon ke ragzaar mein saraab kho diya …
manind rair haath se lumhe phisal gaye…
rahe hayaat mein kuch aise logh mil gaye…
kiun bewajah aankhon me kuch supne saja liye…?
dill mein kisi ke piyar ke deepuk jala liye…
ub zindagi ki dor suljhaon to kis terha …?
hud-e nazer se lot ker aaon to kis terha …?
socha nahin tha chah mein itna bikher jaon gi mein…
apni he nigah mein khud aap gir jaon gi mein …
sunti hoon dill ki oor se hulki si chaap ko …
jub bhi kabhi samait ti hoon apne aap ko …
jo aas bhi lagai wo dill tor ker gai …
kiun shobda se khail mein mai dor ker gai …?
jhutke mein koi mujh se mara piyar le gaya …
or saath mein sub raht-o karaar le gaya …
ek sahara chahiye mujh ko kisi tudbeer ka …
or badal daloon gi mei punna mari tukdeer ka …
apne paron per to mei phir se khari ho jaon gi …
per faraibe aarzoo mein phir kabhi na aaon gi ..

butterflytapti hui raahon pe phiraaya mujhe din bhar
yoon tere tasawur ne sataya mujhe din bhar
dil main wo kasak chorr gaya subha ka taara
ik lamha bhi aaraam na aaya mujhe din bhar
weeraan bayabaan main,kabhi ujrray gharon main
phirta raha lay kar tera saaya mujhe din bhar
deti rahi chaandni shab bhar mujhe aawaaz
sooraj ne bhi reh reh k bulaaya mujhe din bhar
har simt bhare sheher thay kiya jaaniye phir bhi
tanhaaii k ehsaas ne khaaya mujhe din bhar
lehje main ghani chhaaon k,paton ki zubaan main
payrroon ne tera haal sunaaya mujhe din bhar
ik pal main hi batlaa gaiin dam torrti KIRNen
wo raaz jo aey “Sham” na paaya mujhe din bhar

butterflyTumhey bhi sochna chay tha
k unki chahat ko thukraya nahi kartey
k un betey dino ko bhulna acha nahi hota
k un say anjan ban kar chain sey jina
humarey wastey mumkin nahi hoga
Tumhey bhi yeh sochna chay tha
k wo batain jo hum ek dusrey sey kar chuky hain
ab kahi wapis na aayen gee
k wo lamhey jo hum ek dosry main ji chuky hain
pher kabhi zinda nahi hoon gay
Bechar ney se zara pheley
Tumhey bhi sochna chahiye tha

butterflyMein ne Poocha kesey ho
Badley Ho ya wesey ho
Roop wohi, Andaaz wohi
ya phir is mein koi kami
Hijr ka kuch ehsaas to hoga
koi tumharey pass to hoga
mein Bichra ye majboori thi
kab manzoor mujhey Doori thi
saath Humara kab choota hai
Rooh ka Rishta kab Toota hai
Aankh se jo aansu Behtey hain
Tum ko khabar hai kia kehtey hain
mein ne kaha aawaz tumhari
aaj Bhi hai Humraaz Hamari
Phool wafa k khil jaain ge
ik Din Phir Ham mil jaain ge

butterflyBohat Mushkil Hai, Tare Dil Pe Apney Dil K Dard Ki Kahani Likhna..,Bilkul Aisy Hai Jaisy Behtey Huwey Paani Pe ” Paani Likhna..,

butterflyIkraar mein shabdon ki ehmiyat nahi hoti,
Dil ke jazbaat ki awaaz nahi hoti,
Aankhen bayaan kar deti hain dil ki daastan,
Mohabbat lafzon ki mohtaaz nahi hoti!

butterflypyar wo jo soorat k sath sath seerat se kiya jy,ya yun kehye k pyar jism se hi nahi balke rooh se bhi kiya jy,jis terah mujeh apni jaan se pyar he.i love her uncountable.i m lucky

Subscribe to this Blog via Email :