Friday, July 31, 2015

Romantic Urdu Poetry, Part-17

·

butterflyThak sa Gaya hai Meri ChatooN ka Wajood,,,,
“IMRAN”
Ab koi “Achaa” bi Lagey to Izhaar Nahi Karte…


butterflyAaj to mera dil kehta hai, Tu is waqt akela hoga
bachapan ki yaadoN ka Dil MaiN, lagaa ek Mela hoga.
Bheeg chaleeN ab raat kee palke, Tu ab thak kar soya hoga
Rail kee gehree seetee sun kar, Raat ka jangal goonja hoga.
Sheher ke khalee station par, Koi musafir utra hoga
Aangan me phir chidiyaaN boleeN, Tu ab so kar utha hoga.
YadoN kee jaltee shabnam se, Phool sa mukhda dhoya hoga
Motee jaisee shakl bana kar, Aaeene ko takta hoga.
Shaam hooee ab tu bhee shayad, Apne ghar ko lauta hoga
Neelee dhundlee khamoshi maiN, Taron kee dhun sunta hoga.
Mera saathi shaam ka taaraa, Tujh se aankh milata hoga
Shaam ke chalte haath ne tujh ko, Mera salaam to bhaija hoga.
Pyasee kurlaatee koonjon ne, Mera dukh to sunaya hoga
MaiN to aaj bohot roya hooN, Tu bhee shayad roya hoga.
MaiN to tera meet purana, Tujh ko yaad to ata hoga
Dil Main mujh ko yaad karke, Tu bhi to Muskuraya hoga.

butterflyNigah e yaar pe palko’n ki agar lagaam na ho
Badan mein door talak zindagi ka naam na ho
Wo be naqaab jo phirta hai gali kucho’n mein
To kaise shehar ke logo’n mein qatal e aam na ho
Mujhe yaqeen hai ke duniya mein dard barh jaein
Agar ye peeney pilaney ke ehtamaam na ho
Bitha ke saamne bus dekhta rahun us ko
Is ke siwa mujhe duniya ka koi kaam na ho
Jo us ko dekh le ek mehtaab ek nazar Mohsin
Mare shehar ki galiyo’n mein kabhi shaam na ho

butterflyApne dushman ko bhi palkon pe bitthane waley
haye aaye na hame dhang zamane waley
aankhon hi aankho mai parr lete thai baten dil ki
ab nahi log wo Ghalib k zamane waaley
ab galey lagne ko kehte hen hamen manzil par
beech rastey mei hamen chhorh k janey waley
rah mei meri jinhe sang bichhate paya
ye wahi thai mujhe phulon pe chalane waley
tanz k teer wahi raah mai barsate hen
jo hey dunya ki nigahon se girane waley
dil hi dil mei na kabhi KaRNa mohabbat Mahrookh
nahi chaltey yahan chahat k chhupane waley

butterflyterey paas aane ko jee chahata hai
naye zakhm khane ko jee chahata hai
zamana mera aazmaya huwa hai
tujhey aazmane ko jee chahata hai
wahi baat reh reh k yaad aa rahi hai
jisey bhool jane ko jee chahata hai
labo’n par merey khailtey hain tabassum
jab aansoo bahane ko jee chahata hai
takalluf na kar aaj barq e tajalli
nasheman jalaney ko jee chahata hai
rukhey zindagi se naqabain ulat karr
haqiqat dikhane ko jee chahata hai

butterflyAJ TU BESABAB UDASS HAI JII
ISHQ HOTA TU KOI BAAT B THI
JALTA PHIRTA HOON DOPHARON MAI
JANE KIA CHEEZ KHO GAYE MERI
CHUPTA PHIRTA HAI ISHQ DUNYA SE
PEHLTI JA RAHI HAI RUSWAII
AAJ TU WO B KUCH KHAMOSH SA THA
MAI NE B IS SE KOI BAAT NA KI
AIK DUM IS KE HONT CHOOM LIE
YE MUJHE BETHE BETHE KIA SOOJHI
AIK DUM ISKA HATH CHORADIA
JANE KIA BAAT DARMIYAN AYEE
TU JO ITNA UDAAS HAI “NASIR”
TUJHE KIA HOGAYA BATA TU SAHI!

butterflymein hoo’n tera khayal hai aur chaand raat hai…
dil dard se nidhaal hai aur chaand raat hai…
aankho’n mein chubh gayein teri yaado’n ki kirchiya’n…
kandho’n pe gham ki shaal hai aur chaand raat hai…
dil torh kar khamosh nazaro’n ko kiya mila…
shabnam ka ye sawal hai aur chaand raat hai…
campus ki nehar pe hai tera haath, main hai haath..
mausam bhi lazawal hai aur chaand raat hai…
har aik kali ne orh liya maatami libaas…
har phool per malaal hai aur chaand raat hai…
meri to por por mein khush khush si bas gayi…
us per tera khayal hai aur chaand raat hai…
halka sa parh raha hai ‘wasi’ wehshato’n ka rang…
har cheez pe zawwal hai aur chaand raat hai…

butterflytere baare mein jab sochaa nahin thaa
main tanha tha magar itana nahin thaa
terii tasviir se karataa thaa baate.n
mere kamrai mein aainaa nahin thaa
samandar ne mujhe pyaasa hi rakhaa
main jab sehra mein tha pyasa nahin thaa
manaane-roothane ke khel mein ham
bichar jaayeinge ye sochaa nahin thaa
sunaa hai band kar li us ne aankhein
kayi raaton se vo soyaa nahiin thaa

butterflyDil mein jo baat hai , woh baat kahogi kab tak
.
Dekhna yeh hai kai, khaamosh rahogi kab tak
kab tak is baat ko honton pay na laaoigi tum
kab tak is jazba-e-ulfat ko chupaaoigi tum
kab tak is raah say katra kay chalogi tanhaa
kab tak is aag mein chup chaap jalogi tanha
Dard furqat ka meri jaan sahogi kab tak
.
dil ki woh baat jo honton pay thehar jaati hai
jii jalaati hai tumhara, tumhein tarpaati hai
lab pay laatey hua bhi jis ko hijaab aata hai
bin kahe bhi jisay dil chain nahin paata hai
chup kay darya mein khamoshi say bahoogi kab tak

butterflySAAHIL NAA HOTAA GAR TO SAMANDAR KAHAAN TAK HOTAA,
BAHAAR NAA AATI GAR TO GULISTAAN KAHAAN TAK HOTAA,
GUZAR JAATAA HAI BURAA DAUR ZINDAGI SEY DHEEREY DHEEREY,
YEH WAQT NAA HOTAA GAR TO DAUR YEH KAHAAN TAK HOTAA,
ZULM KI INTAHAA TAAB NAHIN LAYAA WOH FAUT(MaRNaA)HOGAYAA,
JO INTAHAA KI HADD NAA HOTI GAR TO ZULM KAHAAN TAK HOTAA,
MAUT MITAA DETI HAI EK DIN WAJOOD SABKAA ISS DUNIYAA MAIN,
ZINDAGI QAYAAMAT TAK HOTI GAR TO WAJOOD KAHAAN TAK HAOTAA,
LUTAA DIYAA HAI SAARI KHUSHIYAN AARZOO KEY CHAKKAR MAIN KHAMOSH,
YEH TAMMANAA NAHIN HOTI TO JAHAAN KAHAAN TAK HOTAA

butterflyKar ke shamil zindagi me, na juda kijiye,
Na kar paye wafa na sahi, u na jafa kijiye..
Apne hi tumhare bann baithe dushman to,
Aab kisse kijiye gila, kis-kis ko saja dijiye..
Manga na kabhi kuch aur uss Khuda se,
Bass yahi kaha, jo de badua use meri dua dijiye,
Duniyadaari na seekhi, na aa paayi kabhi,
Mohabbat ke khariddaar hai, […]

butterflyjab se tum mere humsafar ban gaye
aise rahon mein phool hi phool bich gaye
tanha tanha chaltey they jindagi ke safar mein
miley jo tum humein jaise jeevan ke humsafr ban gye
ho gaye rahien asaan pyar ki manjil ki
jab se meri pyar ki tum manjil ban gaye

butterflySo Jaun kuch Pal Tumare Seene Se Lag kar
Aaj Najane Yea Dil Kyun Gabra raha hai
Kar Raha hai Yea Chand Sitaaro se baatein
Aur Dhadkano ko Najane Kyun Bada raha hai
SHayad Sama Jana chahta hai Teri Bahoon mea
Har Khushi aur GUm ko Bhula dena chahta hai
Duniyaa Ki Nazro se Chupte Chupate aaj yea
Dil Sirf Tere Dil […]

butterflyG main ata hai koi taza mohabat ker len
uski aadaat main dhalty hue aadat badlen
uski khatir koi chahat koi nafrat badlen
uske hoty hue chahat ka safer badly ga
geet ka haar ka her aik huner badly ga
g main aata hai nai shokh k pehloo se lageen
g main aata hai koi taza mohabat ker len
phir nai zulf k saye main guzaren raten
phir nai ankh main masoom se paiman bandhen
phir naya jism naye andaz k geet
phir nai chaal pe ghazlen kahen, nazmen likhen
phir naye honton ko tasveer karen
jism k zaviye jidadt main bhigo ker dekhen
g main aata hai koi taza mohabat ker len…

butterflyKabhi kabhi mery dil main khyal aata hai
ajab na tha main begana-e-alam ho ker
tery jamaal ki ranaiyon main kho rehta
tera gadaz badan teri neem baz ankhen
inhiy haseen fasanon main mehev ho rehta
k zindi teri zulfon ki nerm chaon main
guze
y pati to shadaab ho b sakti thi
ye tergi jo meri zeest ka muqader hai
teri nezer ki shuaon main kho b sakti thi
pukarten jab mjhy talkhiya zamany ki
tery labon se khilawat k ghunt pi leta
khyaat cheekhti phirti berhana ser or main
ghaneri zulfon k saye main jhup k gee leta
mager ye ho na saka or ab ye aalam hai
k tu nahi tera gum teri justajo b nahi
guzer rahi hai zindgi aesy k
usy kisi k sahary ki arzoo b nahi
na koi jada-e-manzil na roshni ka suragh
bhatak rahi zindgi khallaon main meri
inhiy khalaon main kho ker reh jaon ga
main janta hun meri hum nafs mager unhi
kabhi kabhi mery dil main jhyal aata hai…

butterflyMohabat sirf visal-e-sanam kab hai
is k hazaroon roop rang hain
ye har rang main muskurati hai
Rooty bachy ko chup KaRNa b Mohabat hai
door kisi gareeb k ghar main
band choolha jalana b mohabat hai
jo har eid per nae kapron ko tarsty hain
os masoom bachon ko nae jory zaiz tan krwana
bhi Mohabat hai
wo jin k ansoo ponchny waly nahi rahy
un ki mayoosiyan mitana hi mohabat hai
tTu bhaly gam se choor choor Ae Dil
logon kgam dil pe lena bhi mohabat hai
main to shayer hon
karon mohabat ko kesy bayan??
jo de nafrat, ata Mohabat karo,
shayad yehi mohabat hai

butterflypholoo’n ko aag lug gaiee nughmaat jal gayeey
sooraj ki taiz dhoop main lumhaat jal gayeey
ub daaman_e_hayat main kuch bhi nahi raha
furda ki surd aag main halaat jal gayeey
kaliyaa’n chatuk rahi hain k shakhoo’n pai aablay
ghunchoo’n ki nukhatoo’n say mere haath jal gayeey
ub kay baras , bahar baseerat ko dass gaiee
fikr_o_nazar kay jhoomtay baghaat jal gayeey
saghar lutay lutay hain , sitarey bujhay bujhay
shayad mere naseeb kay din raat jal gayeey…

butterflyAgar ae sanam teri zulf mein mere nam ka koi phool hai
to kbhi kbhi yun hi besabab tera roothna b qabool hai
jise chaho us ki dua kro, jise chaho us se wafa kro
yhi ishq waalon ki shart hai, yhi ulfton ka usool hai
arre jis k piar ne dosto mujhe sher kehna sikha dia
agar us ki bat na ho ske to yeh shaaeri b fuzool hai
sre sham tere tamam khat, teri hr nishani ko dekhna
meri zindgi ka mizaj hai, meri chahton ka wasool hai
wo nhi hai to mre dosto shab e chodhween b udas hai
yeh jo jhilmilati hai chandni, yeh to us k qadmon ki dhool hai
teri aas mein ho racha hua, teri zat se ho jura hua
koi khwab ho ya azab ho, meri jan mujh ko qabool hai

butterflyJo zakhm tu nay diye thay woh bhertay jatay hain
Charhay hoay thay jo dariya utartay jatay hain
Yeh Ahel_e_shahr_e_wafa hain ajab bahar parust
saroo kay phool faseelo’n pay dhertay jatay hain,
nahi hai aur tu kuch bhi hamaray hatoo’n main
siva_ye_arz_e_tamman na so kertay jata hain
ajeeb loog hain , yeh ahel_e_intezaar kay jo
khud apni aag main jul kar sa’nwertay jatay hain
najanay kaun si basti kay hain yeh bashindey!
nazar uthatey nahi aur guzertay jatay hain
yeh aaj shaher pay utri hay kis bala ki raat
charaagh apni lawoo’n say mukertay jatay hain
darakht shaam ko lagtay hain shaher say amjad
kay shaakh shaakh parinday utartay jatay hain

Subscribe to this Blog via Email :