Friday, July 31, 2015

Romantic Urdu Poetry, Part-19

·

butterfly Jab kabhi mausam main khushboo bikhar jaye, jab kabhi chandni main raat nikhar jaye
Jab kabhi bewajah hi dharkan machal jaye, to samaj lena k humne tumhe yad kiya hai


butterfly Saath chalne main jo maza hota
Woh humain bhi kabhi mila hota
Yeh hi hasrat rahi hamari faqat
Saath apne koi chala hota
Hum bhatakte rahe the raahon mein
koi rasta pata chala hota
Thaam leta humain bhi barh ke koi
Haath hum ko koi mila hota
Hum ulajhte nahi zamane se
Ek jo Humsafar mera hota
Hum na thakte safar mein gar
Saath apne koi chala hota

butterfly Har ek lamha naya ik imtehan hai,
bohut na-meharban yeh aasman hai,
Dilon per barf girti ja rahi hai,
Badan ka tajziya bhi raiga hai,
main us say baat KaRNa chahti hon,
batao to sahi woh ab kahan hai,
Anaa ki rait shamil ho gayai hai,
Hawa say guftugu ab raigan hai,
Mujhey is ka yaqeen hargiz nahi tha,
Meri janib say itna badguman hai

butterfly Chahton ki dori bhi,
TORNA hi parti hay
Manzilon ki kashti bhi,
Mo
a hi parti hay
Bhoolna hi parta hay,
Khud say piyaray logon ko
Aur dil kay aangan mein,
Naqsh un ki tasweerain
Kuch haseen lafzon ki,
Kuch haseen tehreerain
Paaoon jin mein jukrain hon,
Kholna hi parti hain
Khoobrurat aankhon mein basnay walay khawbon ko
Nochna hi parta hay
Dil say milta her rishta TORNA hi parta hay
kiun keh
Izzaton say barh ker tou aur kuch nahee hota!!!

butterfly Rangat teri zulfon ki gataon nay churayee,
Khushboo teray aanchal say hawaon nay udaayee !
Paimanay ka dil toot na jayey to kahoon main,
Hai cheez gazab ki jo nigahon nay pilayee !
Khushboo teray aanchal say hawaon nay udaayee !
Qaidi teri zulfon ka hai aazaad jahan say,
Mujko yeh rihayee to sazaon nay dilayee !
Khushboo teray aanchal say hawaon nay udaayee !
Maana ki baharon nay khilaaya hai gulon ko,
Ulfat ki kali dil mein wafaon nay khilayee !
Khushboo teray aanchal say hawaon nay udaayee !
Tham-tham kay barasna kabhi jham-jham kay barasna,
Saawan ko ada yeh meray ashkon nay sikhayee !
Khushboo teray aanchal say hawaon nay udaayee !
Rangat teri zulfon ki gataon nay churayee,
Khushboo teray aanchal say hawaon nay udaayee !

butterfly Kyu rulaate ho mujhe ?
Kyu bhool jaate ho mujhe?
Tere he sahaare to jee rahe hain hum..
To phir kyu akela chodh jaate ho ?
Har baat ko chupana ataa hai tumko,
Roothon ko manana ataa hai mujhe.
Roothe ho tum na jaane kis baat par mujh se
To phir wo baat kyu nahi bataate ho tum mujhe
Pyaar hum tumse karte rahenge.
Pyaar to tum bhi karte ho na..
To phir kyu yu sataate ho mujhe?
Ya keh do zeher peene ko,
Ya kaho phir mujhe jeene ko
Agar mere saath main nahi chalna tha tumko
.
To phir kyu mujhe raasta zindagi ka dikhaya ?
Beech raaste main kyu is tarah akela chodh diya?
kaho
kuch tho kaho
Kyu akela chodh diya
..

butterfly Suno,
Kaanch ki Gurya,
Agar ejazat do
Eik Sargoshi Karon
Tumharey kanon men
Chupke se
Dherey se
Dhemey se
suna don woh such
woh jo meray dil men hay
ke tum bohat sundar ho
Chand ki chandni se ziada
Din ke ujaley se ziada
Gulab ki mehak se ziada
Men tu Tyaar tha
Tumhen tum se churaney ko
Aur pulkon men sajany ko
Sub se chupaney ko
Per waqat Youn hi beet gia
Woh sub pal youn hi guzar gaey
Aur aaj men ye sooch raha hon
Ke Men ney kia paya
Tumhen kho kar
Tumhen fursat miley tu
Tum bhi zara soochna
Tum bhi zara soochna

butterfly Humein tumse mohabbat hai, ye sab ko pata hai
Par tumko bataana hai, zara der lagegi
Izhaar zubaa se toe sab hi karte hain
Par aankhon se bataana hai, zara der lagegi
Manzil tak ka safar lamba toe nahin hai
Par agar tanha bitaana ho, zar

butterfly Zindagi nahen humain doostoon sa pyari,
Doostoon pe hazir hai jaan hamari,
Aankhoon main hamarey aansoo hain to kia,
Jaan sa bhi pyari hai muskaan tumharii

butterfly Dil Ki Dhadkan Ko Dhadka Gaya Koi
Mere Khawabon Ko Mehka Gaya Koi ,
Hum To Anjanay Raston Pe Chal Rahay The
Achanak Hi Pyar Ka Matlab Sikha Gaya Koi..!

butterfly Jab Sehar chup ho Hansa lo Hum ko
Jab Andhera ho jala lo hum ko
hum Haqeeqat hain Nazar aate hain
Daastano mein Chupa lo hum ko
Din na Paa Jaye kahi Shab ka Raaz
Subah se pehle Utha lo Hum ko
Hum Zamaane ke Sataaye hain Bahut
Apne Seene se laga lo Hum ko
Waqt ke Honth hume Choo Lenge
Un kahe Bol Hain Gaa lo Hum ko

butterfly Tera Hijr Mera Naseeb Hai Tera Gham Hi Meri Hayaat Hai
Mujhe teri doori ka Gham ho kyon tu kahi bhi ho mere saath hai
mere vaaste tere naam par koi harf aaye nahi nahi
mujhe Khauf-e-duniya nahi magar mere rubaru teri zaat hai
tera vasl aye meri dilruba nahi meri kismat to kya hua
meri mahajabeen yahi kam hai kya teri hasraton ka to saath hai
tera ishq mujh pe hai meharabaan mere dil ko haasil hai do jahan
meri jaane jaan isi baat par meri jaan jaaye to baat hai

butterfly  Aaj Uss Ney Aik Ajab Sawaal Kar daala K
Tum Mujh ko Kitna Chahte Ho
Kaha Naapne Ka Pehmana
Mujhe Mahloom Nahih Lehkin Wo
Tum Apne Dil Se Hi Poocho
Jitna Tum Mujh Ko Chahte Ho
USS Sey Barrh kar Mey Tumhey Chahta Hoon.
Kyun K Mohabbat Tho
Wo Jazba Hey Jisey Mehsoos
Hi Kar saktey Ho
K Jab Uss Ka Dil
Terey Seeney Mey Dharakta Ho
Ye Wo Ehsaas Hey K
JO Diloh K Bheech Tab Hi Mumkin Hey K Wo
Uss K Pyaar ka Ahsaas Kar Sakey Jisey
Wo Pyaar Kartha Ho
Mohabbat Aik Aisa
Khayal Hey K Jo
Aik Soachta Hey,Aur Chahne Wala
Issey Mahni Pehnata Ho
Ye Sawal KaRNa He Be Mahni,
Ye Taqraar Hi La Hassil K Jab Wo
Mohabbat Ko Dunyawi Kasotti Pey
Parakhta Ho
Mohabbat Tou Ye Hey K
Tumhey Jab Wo Yaad Kartha Ho
Shoala Sa Terey Dil Mey Bharaktha Ho

butterfly AAJ DASTAK HEY ISS DARWAZEY PAR
DEHLEEZ CHUP GAI JIS KI WAQT KI GARD MEY
KAWAARR JIS K SHIKAST RAKHTA HAIN
ROASHNIOH KO TARASTEY HAIN
AAJ BARSON K BAAD
WAHAH KHUSHIAH DASTAK DEHTI HAIN
MAYUSIYON K ANDHERON MEIN
WAQT K PHEHREY MEIN
WO JO BHOOL GAYE THEY
CHAABI GUMMA BHETEY THEY
AAJ WO KHUSHIOH KI CHAABI SEY
MOHABBAT K MOUSAM SANG LEH KAR
ISS KHASTA HAAL DIL MEY DAKHIL HOTHEY HAIN

butterfly KAHA USS NEY MUJHEY TAB WAQHAI TUM SEY MOHABBAT THI
KAHA MEY NEY MUJHEY TOU AAJ BHI TUM SEY MOHABBAT HEY
WO TAB KI BAAT KARTHI HEY
MEY AB KI BAAT KARTHA HOON
MAGAR JO FAASLA AB AUR TAB K DARMIYAN HEY
WO HUM DONOH SEY SAMAITTA JAA NAHIH SAKTA
WO AB TAK AA NAHIH SAKTI
MEY TAB KO PAA NAHIH SAKTA

butterfly Raat Kali Ek Khwaab Mein Aayi
Aur Gale Ka Haar Hui
Subah Ko Jab Hum Neend Se Jaage
Aankh Tumhise Chaar Hui
Chahe Kaho Ise Meri Mohabbat
Chahe Hasi Mein Uda Do
Yeh Kya Hua Mujhe Mujhko Khabar Nahin
Ho Sake Tum Hi Bata Do
Tumne Kadam Jo Rakha Zameen Par
Seene Mein Kyun Jhankar Hui
Raat Kali Ek…
Aankhon Mein Kajal Aur Latton Mein
Kali Ghata Ka Basera
Sawali Surat Mohni Murat
Saawan Rut Ka Savera
Jab Se Yeh Mukhda Dil Mein Khila Hai
Duniya Meri Gulzar Hui
Raat Kali Ek…

butterfly USS KI HATHEYLI PAR MEREY AANSOO
KITNEY ACHEY LAGHTEY HAIN
JAISEY SUBHAH SAVEREY KANWAL KI PANKRRIAH
SHABNAM SEY JAGMAG KARTHI HON
TAB AISEY MEY KHUSHBOO DHEEREY DHEEREY
TAN MEY PHEHLNI HEY
AUR SHABNAM PHOOL K RANG MEY AAKHIR
RANG JAATI HEY
TAB NANHEY CHIRAAGHOH KI LAO BHARRTHI HEY
TOU USS KA CHEHRA PEHLEY SEY BHARRH KAR
ROSHAN LAGHNEY LAGHTA HEY
USS KI AANKHOH MEY MEREY AANSOO,KITNEY ACHEY LAGHTEY HAIN

butterfly “Main”
Ek
“DiL” hoon
Meri “Dhardkan” “Tum” ho
“Zindagi” k “Aasman” par
“Main” ek
“Chand” hoon
“Jis” ki
“Chandni”
“Tum” ho
“Main”
ek “khoobsurat” “Aankh” hoon
“Mera”
“Noor”
“Tum” ho
Ã.“r
“Main” ek
“Rooh” hoon

butterfly Jab b ye dil udaas hota hai
Jane kon aas pass hota hai
Kissi ko dundti hai ye nazar
Kissi k na hone ka ahsaas hota hai
Jo roze kare mujh ko SMS pyare
wo shakas b bada khaas hota hai

butterfly Tujhe mhbt KRNA nhi ata,
mujhe mhbt k siwa kuch nhi ata,
zindagi GUZaRNy k 2 tareeqay hainGHALIB
aik tujhe nhi ata,
aik mujhe nhi ata.

Subscribe to this Blog via Email :