Friday, July 31, 2015

Romantic Urdu Poetry, Part-34

·

poetryAjab sham khari he kahin se ajao,
Bari udas ghari he kahin se ajao
Kisi se milna or mil k bichar jana,
saza ye itni bari he kahin se ajao

Bara kathin he ye hijr ka mosam,
judayi bol pari he kahi se ajao
Zamana jise samajhta he motiyo ki chamak,
wo ansuon ki lari he kahi sey aajo

poetryPehley merey khat key usney
Ik anjaney khoof key dar sey
tukdey tukdey ker daaley
AB
Aik haseen Ehsaas ki tarah
Jiska koi naam nahin hey
Pichley kitney hi Ghantoo sey
Derwazey ki oot main chup ker
Tukdey joorr rahi hey
. Pagal lerki

poetryAankhoun sey merey is liye laali nahi jaati
Yaadoun sey koi raat jo khali nahin jaati
Ab umer na mousam na woh raastey key wo paltain
Is dil ki mager fhaam khayaali nahin jati
Maangey tu ager jaan to hans key tujhey dey dain
Teri to koi baat taali bhi nahin jaati
Aaye koi aaker yeh terey dard sambhaaley
Humsey to yeh jaageer ab sambhaali nahin jaati
Maaloom hamain bhi hain terey bohut sey Qissey
Yeh baat teri hamsey Uchaali nahin jaati
Hamrah terey phool khilaati thi jo dil main
Ab shaam koi dard sey khaali nahin jaati
Hum jaan sey jayengey tabhi baat baneygi
Tumsey to koi raah nikaali nahin jaati

poetryKahan aakey rukney they Raastey
Kahan moor tha usey bhool ja
Jo mil gaya usey yaad rakh
Jo naa mil saka Usey bhool ja
Wo terey naseeb ki baarishain
Kisi or chat per baras gayien
Dil be‘khaber merey baat sun
Usey bhool ja ,usey bhool jaa
Main to Gham tha terey dihaan main
Teri aas mian terey gumaan main
Sab keh gayien merey kaan main
Merey saath aa usey bhool jaa
Kisi aankh mian Ashk-e-Gham
Nahi terey baad bhi kuch nahi hum
Tujhey zindagi ney bhula diya
Tu bhi muskura ab usey bhool ja
Woh aankh hi na teri aankh thi
Woh khuwaab na tera khuwaab tha
Dil muntazir tu kis liye
.!
Tera jaagna Usey bhool jaa

poetryDukh chhupay hoay hain hum dono
Zakham khaay hoay hain hum dono
Aisa lagta hay phir zamany ko
Yaad aay hoay hain hum dono
Tu kabhi chandani thee dhoop that main
Ab to saay hoay hain hum dono
Jaisay ek doosary ko paa kar bhee kuch ganwaiy hoay hain hum dono
Jaisay ek doosary say sharmindah
Sir jhukay haoy hain hum dono
Jaisay ek doosaray ki chahat ko
Ab bhulay hoay hain hum dono
Ishq aisa kahan ka ehad(promise)Faraz
Ghar basay hoay hain hum dono.

poetrymere zindagi ka dosra naam hoo tum,
hum tere dil me rahe ge ek yaad bankar ,
tere laab pe khilenge muskan ban kar ,
kabhi apne se juda maat samaj na ,
hum tera saat chale ge asman ban kar.

poetryuski yaad mein dekho hum kya karte hain
bikhri hui zindagi mein deewaronse baatein karte hain
dekha usse kal maine par woh ek chalava nikla
meri kismat dekho jo mera tha woh paraya nikla
kehte hai ki ishq mein toh lut jana chahiye
par jab yaar hi na mile toh kispe mita jaye

poetryZindagi ki udaas raahon per
tu mili bhi ghari do pal ke liye
Main nazar utha kar tarap gaya
Tu nazer jhuka kar chali gayi
Wo waqt bara ajeeb tha aaya
Main zindagi key liye taras gaya
Teri rah mian taktaa reh gaya
Tu apni dhun main guzer gayi
Ye mohabat howi bhi to kesi howi
Main ek pal ko hi mila tum sey
Agley lamhey tu bichar gayi
Ek pal main so khuwaab jiya main
Aankh khuli to zindagi bikhar gayi
Wo nazrana bara ajeeb tha
Jab mian unmain uljha raha
Or tum nazer bacha kar guzar gayi
Dhoondh raha tha us pal tum main khud ko
ik tum be‘wafa thien jo muskura ker chalbasi

poetryMohabbat Farz Jaisi Hai
Nibhana Seekh Jaoge
Dilon Pe Qarz Jaisi Hai
Chukana Seekh Jaoge
Labon Pe Phool Jaisi Hai
Khilana Seekh Jaoge
Nazar Main Aag Jaisi Hai
Lagana Seekh Jaoge
Tum Tak Faasla Jo Hai
Mitana Seekh Jaoge
Kabhi Jo Dil Main Aa Baithay
Zamana Bhool Jaoge

poetryzindagi ko aisi kalpana samjho
raat ko sach subha ko sapna samjho
bhulana chahate ho ager sabhi zakhmo ko
to zindagi mai kisi ek ko apna samjho

poetryYe Kon Chal Diya Mera Shehr Chor Kar
Ankhon Main Rah Key Dariya Nichor Kar
Hum Sari Raat Dehktey Rahey Chera Unka
Kabhi Sheesha Toor Kar Kabhi Sheesha Joor Kar

poetryTumhain Main Bhool Jaoon Ga, Magger Waada Nahi Kerta
Hamiasha Muskuraoon Ga, Magger Waada Nahi Kerta
Tumhari Her Nishaani Ko Main Deriyaa Burd Ker Doon Ga
Tumharay Khat Julloon Ga, Magger Waada Nahi Kerta
Tumhara Zikar Mehfil Main Huwa To, Khamosh Rehna Hai
Main Khud Ko Aazmaoon Ga, Magger Waada Nahi Kerta
Tujhay Wapis Bullana Hai, Nah Daini Hai Sadaa Koee
Main Yoon Dil Ko Manaoon Ga, Magger Waada Nahi Kerta
Challo Yeh Teh Huwa Humdum, Hijr Kay Geet Koee Bhi
Kabhi Nah Gungunaoon Ga, Magger Waada Nahi Kerta
Challo Tum Say Yeh Waada Hai, Keh Dil Main Dard Hain Jitnay
Kissi Ko Nah Sunaoon Ga, Magger Waada Nahi Kerta
Sitaro Neend Kay Maro, Challo Khawboun Ki Dunia Main
Main Bhi So Hee Jaoon Ga, Magger Waada Nahi Kerta
Challo Yeh Tumm Say Waada Hai, Koee Bhi Qeemti Mouti
Nah Aankhoon Say Giraoon Ga, Magger Waada Nahi Kerta

poetrykaThin hai raah_guzar tho.Dii duur saath chalo
bahut ba.Daa hai safar tho.Dii duur saath chaalo
tamaam umr kahaa.N ko_ii saath detaa hai
mai.n jaanataa huu.N magar tho.Dii duur saath chalo
nashe me.n chuur huu.N mai.n bhii tumhe.n bhii hosh nahii.n
ba.Daa mazaa ho agar tho.Dii duur saath chalo
ye ek shab kii mulaaqaat bhii Ganimat hai
kise hai kal kii Khabar tho.Dii duur saath chalo
abhii to jaag rahe hai.n chiraaG raaho.n ke
abhii hai duur sahar tho.Dii duur saath chalo
tavaaf-e-manzil-e-jaanaa.N hame.n bhii karanaa hai
‘Faraz‘ tum bhii agar tho.Dii duur saath chalo

poetryhijr kay mausam main ye barish ka barasna kaisa !
aik sehra say samandar ka GUZaRNa kaisa ?
aey meray dil na paraishan ho ‘tanha ho kar!
wo teray saath chala kab tha ‘bichaRNa kaisa?
Jab shajar saath na de ‘haar samajh bethay to !
zard patton ka hawaon say ulajhna kaisa ?
chal muhabbat kay samandar main utar jatay hain !
pyar KaRNa hai to phir maut say DaRNa kaisa ?
Bewafa kehnay ki bhi jurat na KaRNa ae dil !
us nay iqraar kia kab tha muKaRNa kaisa ?

poetryek gulab tah bara ydas tha
rang bhi us ka tha kuch ora ora sa
shabnam k ansu rawa thay us k
dil tha us ka kuch bujha bujha sa
bahar ka tha mosam phir bhi na khila tha
dali say apni wo kuch jhuka juhka sa
main nay joo dekha usay paas ja k
pucha us say q hai udas to?
q karta hai dil barbad to?
kis ko karta hai yaad to?
ye sun k wo ronay laga
shabnam k ansu say moo dhonay laga
or rotay rotay bas ye kehnay laga
mera yaar mujh ko chhor gaya hai
mera pyar ,ujh say moo mor gaya hai
ab main ksi k liye khil jaoon
ab main kis k liye khushboo mehkaoon
mujhay kon apnay dil say lagai ga
mujhay kon apni sanso main basaiga
mera chaman ujar gaya hai
mera yaar mujh say bichhar gaya hai
bas ab tu har lamhay us ki yaad hai
bas beqarari hai
tarap hai faryad hai mujh ko

poetryAb key wo pocheygi to kehdonga
meri yadon mein batakney waley
meri umeedon mein khatakney waley
meri ankhon ko dekh
in ankhon mein bikha
ey waley
meri saanson mein nikha
ey waley
meri raaton ko dekh
in raaton mein chamakney waley
merey haathon mein dhamakney waley
merey alfaz ko dekh
in alfaz mein jhalakney waley
merey andaz mein khanakney waley
merey jaam ko dekh
is jaam mein chalakney waley
merey seeney mein sulagney waley
mujhey tum sey mohabbat hey

poetryHar kadam par imtihaan leti hai zindagi,
Har waqt naya sadma deti hai zindagi.
Hum zindagi se kya shikwa kare,
Aap jaise dost bhi to deti hai zindagi

poetryYaadon ki dhund me teri parchai si lagti hai,
Sannate mein gunjhti koi shehnai si lagti hai,
Tum kareeb ho to apnapan hai,
VaRNa seene mein sanse bhi parai si lagtin hai..

poetryIs pyar ka zarya tare ankho say ha
Bharta mare mohabbat ka darya tare sansoo say ha,
Rukhsar kay tara jawab nahi to rukhsar per ,
Pertay khubsoorat gadday tare batoo say ha

poetryZindagi ko ek kalpana samjhoo,
raat ko sach subah ko sapna samjhoo,
bhulana chatay ho agar sabhie ghamoo ko tu,
zindagi main kisi ek ko apna samjhoo

Subscribe to this Blog via Email :