Friday, July 31, 2015

Romantic Urdu Poetry, Part-15

·

butterflyEk Khayal Si Bankar Baithi Ho Hotho Par Lekar Baat Koi
Baanho Me Tumko Bhar Lega Hatho Me Lekar Haath Koi
Subah Ki Narm Dhoop Se Chehra Roshan Sa Lagta Hai

Aankhe Noorani Kaali Hain Jaise Taaro Se Jhilmil Raat Koi
Hotho Pe Tabassum Chalki Hai Jaane Dil Me Kya Aaya Hai
Shayad Kehne Wali Ho, Dil Mai Hai Ankaha Sa Zabtt Koi
Sadiyo Si Lambi Doori Hai Lekin Phir Bhi Shayad Mumkin Ho
Hum Mil Jaye Kahin Kabhi Shayad, Tumse Ho Apni Mulaqat Koi

butterflyFarz karo hum dono samndar kinare bethe hon
Batein hum karte jayein aur paoon paani mein geelein hon
Mein rooth kar tumse kisi baat pe kafa hojati hoon
Meri zulfon ko pyar se hata kar mujhko phir manatay ho
Mein tumhari kisi baat pe zor se hansne lagti ho
Tum ulfat aur chahat se mujhe takte jatay ho
Mein kucch sharma kar kucch ghabra kar nazrein jhuka leti hon
Tum meri iss halat per aik qehqaha teiz lagatay ho
Hum uth kar phir sahil se sath sath chaltay ho
Mere kho jane ke darr se tum khaufzada hojatay ho
Darti hooon mein tumse kahin biccharrh na jao
Thaam kar tum meri kalayi armano se kehtay ho
Farz karo ke aaj bhi tum sirf aur sirf mujhko hi chahtay ho
Farz karo yeh sab kuch farz na ho haqeeqat ho

butterflyHum ne Dekhi Hai, in Aankhon ki Mahekti Khushboo
Haathh se Chhoo ke Ise, Rishton ka ilzaam Na Do
Sirf Ehsaas Hai Ye, Rooh se Mehsoos Karo
Pyaar ko Pyaar hi Rahne Do, Koi Naam Na Do
Pyaar koi Bol Nahi. Pyaar Aawaaz Nahi
Ek Khaamoshi Hai, Sunti Hai Kahaa Karti Hai
Na Ye Boojhti Hai, Na Rukti Hai, Na Thaheri Hai Kahin
Noor ki Boond Hai, Sadeeyon se Bahaa Karti Hai
Sirf Ehsaas hai Ye, Rooh se Mehsoos Karo
Pyaar ko Pyaar hi Rahne Do, Koi Naam Na Do
Muskoorahat si Khili Rahti Hai, Aankhon mein Kahin
Aur Palkon pe Ujaale se, Chhupe Rehten Hai
Honthh Kuchh Kahte Nahi, Kaanpte Honthho pe Magar
Kitne Khaamosh se Afsaane, Ruke Rehten Hai
Sirf Ehsaas hai Ye, Rooh se Mehsoos Karo

butterflyAansoo May Na Dhoondna Humey,
Dil May Hum Bas Jaayenge,
Tamanna Ho Agar Milne Ki,
To Band Aankhon May Nazar Aayenge.
Lamha Lamha Waqt Guzer Jaayenga,
Chund Lamhoo May Daaman Chooth Jaayega,
Aaj Waqt Hai Do Baatein Kar Lo Humse,
Kal Kya Pata Kon Apke Zindagi May Aa Jayega.
Paas Aakar Sabhi Door Chale Jaate Hai,
Hum Akele The Akele Hi Reh Jaate Hai,
Dil Ka Dard Kisse Dikhaaye,
Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaate Hai,
Waqt To Humey Bhula Chuka Hai,
Muqaddar Bhi Na Bhula De,
Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Karte,
Kyunke Darte Hai,Koi Phir Se Na Rula De,
Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge,
Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge,
Aitbaar Zara Soch Kar KaRNa,
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge.
Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge,
Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayenge,

butterflyAik Baat Kahoon Agar Suntey Ho
Tum Mujh Ko Achey Lagtey Ho
Kuch Chanchal Se, Kuch Chup Chup Se
Kuch Pagal Pagal Lagtey Ho
Hain Chahney Waaley Aur Buhut
Par Tum Mein Hai Aik Baat Buhut
Tum Apney Apney Lagtey Ho
Aik Baat Kahoon Agar Suntey Ho
Tum Mujh Ko Achey Lagtey Ho
Yeh Baat Baat Pe Kho Jaana
Kuch Kehtey Kehtey Ruk Jaana
Yeh Kiss Uljhan Mein Rehtey Ho
Kiya Baat Hai Hum Se Keh Daalo
Aik Baat Kahoon Agar Suntey Ho
Tum Mujh Ko Achey Lagtey Ho

butterflyTumhara Ishq Tumhari Wafa Hi Kafi Hai
Tamam Umer Yahi Asra Hi Kafi Hai
Jaha Kahien Bhi Millo Mil Kay Muskura Dena
Khushi Kay Wasty Yeh Silsila Hi Kafi Hai
Mujhey Bahar Kay Musam Se Kuch Nahi Lena
Tumharien Piyaar Ki Rangeen Fiza Hi Kafi Hai
Yeh log koun se MANZIL Ki Baat karte hai
Musafiroo kay liyee Rasta hi kafi hai

butterflyTuney Dekhaa Hai Kabhi Ek Nazar Shaam Kay Baad
Kitne Chup-Chaap Sey Lagtey Hain Shajar Shaam Key Baad
Itne Chup-Chaap Key Raastey Bhi Rahenge Laa-Ilm
Chorr Jaayeinge Kisi Roz Nagar Shaam Key Baad
Main Ney Aisee Hi Gunaah Teri Judaai Mey Kiye
Jaisey Tufaan Mein Koi Chor Dey Ghar Shaam Key Baad
Shaam Sey Pahley Wo Mast Apni Uoraanoo Mein Rahaa
Jis Key Haathoon Mein They Tootey Huway Par Shaam Key Baad
Tuu Hai Suuraj Tujhey Maalum Kahaan Raat Kaa Dukh
Tuu Kisi Roz Mere Ghar Mein Utar Shaam Key Baad
Laut Aaye Na Kisi Roz Wo Aawaraa Mizaaj
Khoul Rakhtey Hain Isi Aas Pey Dar Shaam Key Baad

butterflyUs Ke Ane Ka Intezaar KERNE Ko Jee Chahta Hai,
Us Ke Hoton Ke Tabassum Bankar Sada Hoton Par Rehne Jee Chahta Hai,
Us Ke Khayalon Main Khud Ko Mehlool KERNE Ko Jee Chahta Hai,
Us Ke Ane Se Fiza Main Peheli Khsuboo Banjane Ko Jee Chah Ta Hai,
Us Ke Wajood Ko Chookar Ayi Hawa Se Us Ka Haal Jan Ne Ko Jee Chahta Hai,
Us Ke Sath Her Pal Her Ghadi Beetane Ko Jee Chahta Hai,
Woh Nahi Aya ,Par Woh Ayega Us Ka Intezzar Ka
e Ko Jee Chahta Hai.
Us Ke Ane Ka Intezaar KERNE Ko Jee Chahta Hai ada Hoton Par Rehne Jee Chahta Hai,
Us Ke Khayalon Main Khud Ko Mehlool KERNE Ko Jee Chahta Hai,
Us Ke Ane Se Fiza Main Peheli Khsuboo Banjane Ko Jee Chah Ta Hai,
Us Ke Wajood Ko Chookar Ayi Hawa Se Us Ka Haal Jan Ne Ko Jee Chahta Hai,
Us Ke Sath Her Pal Her Ghadi Beetane Ko Jee Chahta Hai,
Woh Nahi Aya ,Par Woh Ayega Us Ka Intezzar Ka
e Ko Jee Chahta Hai.
Us Ke Ane Ka Intezaar KERNE Ko Jee Chahta Hai

butterflyYe safar pyar ka hai bara mushkil
Jal ke jo mare iss me, ussi ko milit he manzil
Is rah me hazaron kante hein
Paate hein wo, jo inn pe shauk se guzarte hein
Pyar ki rah me har ghum ko sahein, aj ye irada kar lein
Hum ab kabhi na toote ge, ao ye wada kar lein

butterflyPhoolo Se Achhi Us Ki Khushbu
Kaliyo Se Pyaari Uski Muskaan
Sitaaro Sa Chamakta Hua Chehra
Koyal Si Meethi Zabaan
Chaand Bhi Chhup Jaye Yeh Keh Ke
Aaasmaan Pe Ab Kya Mera Kaam
Chandni To Aa Nikli Zameen Se
Kaisi Hai Yeh Qudrat Ki Shaan
Mitti Se Bane Hai Hum Sab
Us Main Sone Ko Milaaya Hoga
Hooron Ne Bhi Hasrat Se Dekha Hoga
Pariyo Se Sunder Yeh Insaan
Alfaaz Bhi Kum Parte Hai Kehne Ko
Aisi Hai Meri Jaan jiya

butterflyKitna Pyari Hein Ye Teri Aankhein, Jin Pe Hum Marte Hein
Ye Kya Janen, Hum Tum Se Kitna Pyar Karte Hein
Kitna Dilkash He Ye Tera Chehra, Jis Ki Tasveer Hum Seene Mei Chupa Rakhte Hein
Ye Kya Jane, Teri Ghum Me Hum Khudh Ko Kis Tarah Saza Dete Hein
Kitna Dard-Barha He Ye Tera Dil, Jis Me Hum Baste Hein
Ye Kya Jane, Hum Tum Se Bicha
e Ke Khayal Se Bhi Darte Hein
Kitni Pyari Hein Teri Ye Baatein, Jine Hum Sine Se Laga Rakhte Hein
Ye Kya Janen, Hum Teri Yaad Me Kabhi Jeete Hein, To Kabhi Marte Hein

butterflyRaat Kii Tanhae Mai
Shor Tha Too Barish Ka
Toot Kay Kahen Barsaa
Kon Thii Joo Aaye Thii
Khowab Koye Laye Thii
Tooty Ghar Kay Aangan Mai
Aak Udase Chaye Thii
Pochte Thi Kon Hai Woo
Kion Yahan Par Aaye Thii
Ujree Maang Woo Bheti
Haath Mai Toote Chori
Aur Rang Tha Mehndi Ka
Ajj Phir Say Bikhre Thii
Khowab Shayed Toota Tha
Aankh Say Bhte Nadya
Shor Tha Too Barish Ka
Toot Kay Kahein Barsaa

butterflyMere Jism Ki Har Rag Rag Mein Bus Tum Hi Raho Ge
Har Su Har Dum Tum Mujhe Apna Kaho Ge
Ab To Is Baat Ka Mujhko Pura Yaqeen Hai
Mujhe Paane Ke Liye Tum Puri Dunya Se Laro Ge
Ab To In Aankho Ka Tum Noor Ban Ke Raho Ge
Mein Tum Se Aur Tum Mujh Se Mohabbat Saari Umar Karoge
Chahe Kitne Hi Faasle Ho Tumhare Mere Beech
Phir Mein Mere Dil Ki Saada Sirf Tum He Suno Ge
Mere Haathon Ki Lakeeron Mein Ab Sirf Tum Hi Raho Ge
Aik Be Misaal Saathi Ki Misaal Tum Hi Bano Ge
Ab To Aik Din Tumhare Bagair Rehna Aazab Hai
Meri Saanse Tab Tak Chale Gi Jab Tak Tum Jiyo Ge

butterflyAye Husan Hamari Fitrat Hai Ham Saath Na Tera Chodenge
Par Tere Sitam Ke Kisse Sab Likh Kar Sheron Main Keh Denge
Badnaam Na Hone Denge Tujhe Jeete Jee Lakin Yaad Rahe
Aik Roz Tudke Sab Log Mere Qatail Ke Naam Se Dhoondenge
Aur Choonki Aap Ne Zikar Kar Diya Hai To Farq Batana Bhi Zaroori Hai
Kitne Rangon Main Tu Hai Bani Shayad Hi Kabhi Hum Jaan Saken
Poojenge Tujhe Maa Keh Kar To Dil De Ke Tujhe Hum Tadpenge
Sharmati Ho Bal Khati Ho Bachchon Ki Maa Kehlati Ho
Bas Khul Kar Pyaar Agar Baanto Hargiz Na Zabaan Hum Kholenge
Paise Ki Baten Woh Na Karen Laalach Ki Baat Bhi Rehne Den
Kal Ishq Agar Kangaal Huwa Kia Chain Se Woh Jeene Denge
Har Roz Kisi Pe Marte Hain MARNE Se Kab Hum Darte Hain
Wada Jo Karo Tum Ulfat Ka Tum Ko Jeena Sikhlaa Denge
Ghut Ghut Jeene Ki Chah Kise? Aye Khuda Nahi Parwaah Magar
Jo Pyaar Na Tera Baant Sake Kia Tujh Ko Muh Dikhlayenge
Besabar To Aap Bhi Hongi Ab Lag Jaiye Kataar Uthaa Kar Kaam Pe

butterflyJustooju Hai Auski Jo
Milnay Ko Milti Nahee Hai
Mohabbat Hai Ausko Mujhsay Magar
Izhar Karti Nahee Hai
Mangee Tih Aik Mulaqaat
Chandni Raat Us Pay Baadloon Ke Baraat
Setam Yeah Kai Fursat Ke Gharee
Ub Milti Nahee Hai
Gham-E-Zindage Her Din
Naey Naey Atay Hain Tarpatay Hai
Sohani YAADEIN Uski Lagzhishay Dil Pay
Mit Pati Nahe Hai

butterflyKisi Khamosh Lamhe Mein
Agar Mein Tum Se Yeh Keh Doon
Mujhe Tum Se Mohabbat Hai
To Tum Yeh Mat Samajh Lena
Key Meine Sach Kaha Ho Ga
Kay Aisi Dil Nasheen Batoon Ko
Aise Dil Ruba Paraee Mein Kehna
Mujhe Bachpan Se Ata Hai
Meri Aankhein
Mera Chehra
Mera Bay-Sakhta Lehja
Sub Kuch Jhoot Kehta Hai
Magar Iss Jhoot Mai Bhi Ek Sach Hai
Aur Woh Yeh
Mujhe Tum Se Mohabbat Hai

Zindagi Youn Teri Chahat Ke Naam Kardi
Jaisy Ghane Darakht Ke Neeche Sham Kardi,
Laut Jate Hain Parinde Bhi Sham Hote Hi
Hum Ne To Har Sham Hi Tere Naam Kardi!

butterflyUn k aane ka he imkaan Khuda khair kare,
Dil pe guzrega ye toofan Khuda khair kare,
Wo to hain oonche mehlon k rehne wale,
Aur mera ghar beyyabaan Khuda khair kare,
Un ka kehna he k mehfil me uthayenge naqaab,
Mera kho jaye na eemaan Khuda khair kare,
Wo ye kehte hen is
baar judai hogi apni,
Main ye kehta hon meri jaan Khuda khair kare,
Maine maangi he wafa aur wafa k badle,
Us ne maangi he meri jaan Khuda khair kare.

Subscribe to this Blog via Email :