Friday, July 31, 2015

Romantic Urdu Poetry, Part-14

·

butterflyEk pal ka saath aapka dil chhoo jata hai,
Jaane ke baad aapke yeh pal bohot yaad aata hai,
Dil na jane kyun samajh nahi pata hai,
Kaise koi ajnabi apna sa ban jata hai
 
butterflyYu dil se dil ko juda na kijiye,
Zara soch samajh kar ye faisla kijiye,
Agar aap jee sakte hai mere bin,
To fir mere MARNE ki dua kijiye.

butterflyTarasti nazron ki pyaas ho tum,
Tadapte dil ki aas ho tum,
Bujhti zindagi ki saans ho tum,
Phir main kaise na kahun,
Mere liye kuchh khaas ho tum

butterflySapno ke safar mei koi apna nahi,
Apno ke gali mei koi paraya nahi,
Dil Ke Riste Bhi ajeeb hoti hai,
Judai ke bina koi sapna nahi,
Sapno ke siva koi Zindagi nahi,
Yehi to hai datan Admi ka,
Sapna kabi Apna nahi,
Aur Apno ka koi Sapna Nahi
Apnay hothon par sajaana chahta hoon,
Aa tujhay main gungunana chahta hoon !
Koi aansoo tery daaman par gira gar,
Boond ko moti banana chahta hoon !
Thak gaya main kartay kartay yaad tujko,
Ab tujhay main yaad aana chahta hoon !
Cha raha hai saari basti mein andhera,
Roshni ko ghar jalana chahta hoon !
Aakhri hichki teray zaano pay aayey,
Maut bhi main shayraana chahta hoon !
Apnay hothon par sajaana chahta hoon,
Aa tujhay main gungunana chahta hoon

butterflyKuch saalo baad najane kya sama hoga,
Najane kaun dost kaha hoga,
Phir milna hua toh milenge yaadon mein,
Jaise sukhe gulab milte hai kitabon mein.

butterflyEk chhota sa sapna tha,
Us sapne mein koi apna tha,
Us apne mein kuchh sukoon tha,
Jo zindagi ka junoon tha.
Us junoon mein ek rahat thi,
Jo sirf teri chahat thi,
Us chahat mein ek andaz tha,
Jo meri dhadkano ka raaz tha.
Us raaz mein ek khushbo thi,
Jo meri soch ki justazu thi,
Us justazu mein ek hararat thi,
Jo meri khushiyoun ki shahrat thi.
Us shahrat mein ek ehsaas tha,
Ke tu jo mere pass tha,
Us pass mein jo ek aaraam tha,
Woh bus sirf ek tera naam tha

butterflyAndaz badalne lagte hain,
hoton pe shararat hoti hai,
Nazron se pata chal jata hai
Jis dilme mohabbat hoti hai

butterflyKahan se loon ab hunar usay mananay ka,
k koi jawaz na tha us k rooth janay ka.
Mohabbaton mai saza mujhay he milni the,
k jurm men ne kia raabtay barhanay ka…

butterflyDil mein dhakan ki tarha aankh mein aansu ki tarha!
Tum mere paas raho phool ki khushboo ki tarha!!

butterflyNashili aankho se wo jab hamein dekhte hain,
hum ghabraakar ankhen jhuka leite hain,
kaun milaye unn ankhon se ankhen,
suna hai wo ankho se apna bana leite hai.

butterflyWafa mein agr sila hota.
Phir na zindgi se hamein koi gila hota.
Na kertay kisi ki justuju.
Bus woh ek shakhs jo hamein mila hota.

butterflyEk teri khushi men apni jaan war don,
Jeeti hoi bazi ik pal mein har doon,
teri ankhon me anso humse dekha nahi jaty,
Jo de tujhy ghum uski dunia ujaar don

butterflyFiza mein mehekti ek shaam ho tum,
Pyar mein chalakta jam ho tum.
Seene main chupaye phirte hai hum yaad tumahari,
Meri zindagi ka dusra naam ho tum

butterflyJub Khamosh Aankho Se Baat Hoti Hai
Aise Hi Mohabbat Ki Suruwat Hoti Hai
Tumhare Hi Khayalo Mein Khoye Rehte Hain
Pata Nahi Kab Din Kab Raat Hoti Hai

butterflyHo kar begaane bhee kyon apne se lagte ho
Ho itni duir phir bhee kyon kareeb lagte ho
Chhor denge teri yaadon ko kahin duir
Ris ris kar roj yuin tadpaate kyon ho
Dil kei jharokhon mei ik tasveer hai teri
Dhoondhli he sahi phir bhee aankho mei baste kyon ho
Koi chhere jo jikar tera to honth farfarate hain
Aah nikle na kahin bas aansoo ban dhalte kyon ho
Mudatt se nahi hui koi baat to kaya
Sapno mei aksar baatein karte kyon ho

butterflyMain lafzon mein kuch bhi izhar nahi karta
Iska matlab ye nahi ke main tujhe pyar nahi karta
Chahata hoon mein tujhe aaj bhi par
Teri soch mein apna waqt bekar nahi karta
Tamasha naa ban jaaye kahien mohabbat meri
Isi liye apne dard ko namoodaar nahi karta
Jo kuch mila hai usi mein khush hoon main
Tere liye khuda se taqraar nahi karta
Par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim
WaRNa mein tujhe chahne ki khataa bar bar nahi karta

butterflyNai dil mein koi to bata wo khat mein salaam kiska tha
Naa raqiib tha tera to wo naam kiska tha
Mujhse chupaoge to kya paoge akhir tera “dil” hoon
Jo har roz bheja hai nazron se wo payam kiska tha
Hunar chahye Ishq kai rutbe ko chupane k liye
Chalo wo koi nai par tujh par likha yeh kalaam kiska tha
Aj kal sajne lage ko niha
e lage ho khudko aino mein
Teri ankho ko yeh bebq intezaar kiska tha
Kehdo mujhse to khud bhi karar pao ge is se
Zehan mein yeh khayal subh-o-shaam kiska tha
Mujhse kehti ho kai Ishq hota kaise hai aye “Dil”
Par ab bata tujhpe jaan yeh shumaar kiska tha
Ek nazar mein tujhe ghayal karke wo betaabi inaam kargaya
Baal-i-umar mein bata yeh nazar-e-katl ka kaam kiska tha

butterflyKhwaab Jhoote Kisi Ko Dikhaya Nahi Karte
Mairey Dost! Yoon Kisi Ko Satya Nahi Karte
Ek Baar Yoon Kisi Ko Keh Ker Apna
Daman Phir Uss Say Churaya Nahi Karte
Uss Ke Intezaar Say Bhala Kya Ho Ga Haasil
Aane Ka Keh Kar Bhi Jo Aya Nahi Karte
Rakhte Hon Jo Dard Bhara Dil Apne Seene Mein
Doosron Ka Dil Phir Wo Dukhaya Nahi Karte
Do Qadam Saath Chal Ker Jo Judda Ho Jayein
Aisey Logon Ko To Humsafar Banaya Nahi Karte
Kis Tarhan Guzarti Ho Gi Zindagi Unnnnn Ki
Pehli MOHABBAT Ko Jo Dil Se Bhulaya Nahi Karte

butterflyTumhari ungliyo me uljha hoon jo chahe bana do mujhko
Zameen par bichha do mujko ya assman par saja do mujhko
Tujhse khiza ke mausam hai tum mausm-e-bahar ho
Mai daal se toota phool hu phir se khila do mujhko
Mai sookha darakht hoon, mumkin hoon, kaabil hoon
Apni mohabbat ki chingari se tum jala do mujhko
Mai dard-o-tanhai ki gehri gard mein rehta hoon
Dil se laga lo mujhko, ya dil se bhula do mujhko

butterflyJazbaat behkete hain jab tumse milta hoon,
Armaan machalte hai jab tumse milta hoon
Saath hum dono ka koi bardasht nahi karta,
Sab humse jalte hai jab tumse milta hoon
Ankho se tum jaane kya kya keh deti ho,
Toofan se chalte hain jab tum se milta hoon
Haatho se hath milte hain hontho se honth
Dil se dil milte hain,jab tumse milta ho
Aaho me beh jaati hai tanhai ki har raat,
Kai shikve dil me rahte hain jab tumse milta hoon

Subscribe to this Blog via Email :