Friday, July 31, 2015

Romantic Urdu Poetry, Part-31

·

urdu poetry ajab tamasha gar hen ye matti k putlay
:SAQI:
be wafai karo to rotay hen wafa karo to rula dete hen.


urdu poetry us main baat he kuch aisi thi
:YARO:
k dil na dete to jaan chali jaati.

urdu poetry SEEDI BAAT KERNE SE KYUN DERTE HAI HUM..
TUMHAIN ITNA CHAHTE HAI RAB KI KASM..
KAHI TUM MERE LAFZO SE KHAFA NA HOJAO..
IS LIYE APNI MOHABBAT KA IZHAR SHAHIRI MEIN KERTE HAI HUM..

urdu poetry Sun lee jo khuda ne wo duaa tum to nahin ho?
Darwaaze pe dastak ki saddaa tum to nahin ho?
Simtee huee, sharmaati huee, raat ki raani,
Soyee huee kaliyon ki hayyaa tum to nahin ho?
Mehsoos kiya tum ko to geeli huee palkain,
Bheege hue mousam ki ada tum to nahin ho?
In ajnabi raahon main nahin koi bhi mera,
Kis ne mujhe yun Apna Kaha, Tum to nahin ho??

urdu poetry Woh Mujh Se Poochti Hai, Yeh Mazahib Ke Masail Kya Hain
Main Kehta Hoon Ke Duniya Ke Bare Logon Ki Baatein Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Khwab Ki Ta’beer Ke Baare
Main Us Se Poochta Hoon, Aqal Ki Jageer Ke Baare
Woh Mujh Se Poochti Hai, Zindagi Ke Raaz Ke Baare
Main Us Se PoochTA Hoon, Dharkanon Ke Saaz Ke Baare
Woh Mujh Se Poochti Hai, Raat Aur Din Ki Musafat Kya
Main Kehta Hoon, Yeh Saaye Hain Kisi Qaidi Musafir Ke
Main Kehta Hoon, Wohi Jo Qatal Ka
e Ke Liye Aaye
Woh Mujh Se Poochti Hai, Shehar Ki Halat Ka Kya Ho Ga
Main Kehta Hoon, Koi Din Mein Balayein Loot Jayeingi
Woh Mujh Se Poochti Hai, Karbala Kya Phir Bapa Ho Gi
Mmain Kehta Hoon, Nahi, Ab Is Qadar Tanha Nahi Koi
Woh Boli, Darrd Ke Us Paar Bhi Eik Dard Hota Hai
Main Is Ke Baad Kitni Dair Tak Kuch Bhi Nahi Bola

urdu poetry Woh Kehti Hai, Tumein Kyun Khauf Aata Hai Hawaon Se
Main Kehta Hoon, Sarabi! Deep To Aise Hi Hote Hain
Woh Kehti Hai, Chalo Farhat! Hawa Ke Saath Chalte Hain
Main Khamoshi Se Us Ke Saath Chal Deta Hoon Bujhne Ko
Woh Mujh Se Poochti Hai, Tum Kahan Gayab Ho Sadiyon Se
Main Kehta Hoon, Hazaron Wasooson Ke Darmiyaan Gum Hoon
Woh Mujh Se Poochti Hai, Raat Ki Bechainiyan Kya Hain
Main Kehta Hoon, Wohi Jo Dooriyon Ke Dil Mein Hoti Hain
Woh Mujh Se Poochti Hai, Khauf Ka Doraniya Kya Hai
Main Kehta Hoon, Jo Dil Aur Gham Ka Hota Hai Museebat Mein
Woh Mujh Se Poochti Hai, Badlon Ki Umr Kitni Hai
Main Kehta Hoon, Tamazat Ke Mutabiq Paniyon Ke Waqt Jitni Hai
Woh Mujhse Poochti Hai, Raat Itni Be-zuban Kyun Hai
Main Kehta Hoon, Zuban To Dard Ki Shiddat Se Hoti Hai

urdu poetry Main Kehta Hoon, Meri Aankhon Ko Sawan Acha Lagta Hai
Woh Boli, Tum Bhi Farhat Zindagi Se Rooth Jao Ge
Main Bola, Han, Shayed Mmaut Mujh Se Maan Jaye Gi
Woh Boli, Tum Khushi Ke Geet Ko Mayoos Karte Ho
Main Bola, Kya Karoon In Mukhtasar Geeton Ka Mausam Hai
Woh Boli, Tum To Farhat Khud Hi Khud Se Haar Jaate Ho
Main Bola, Kya Karoon Kamzor Hoon Aur Be-Sahara Hoon
Woh Boli, Kya Yeh Sab Kuch Itefaqan Hai Tumhara Gham
Main Bola, Yeh Bhi Mumkin Hai Yeh Sab Ehtaraman Ho
Mohabbat Mein Ghamon Ki Is Kadar Yalghar Kyun,.. Boli
Main Bola, Tum Kisi Din Yeh To Apne Aap Se Poocho
Woh Kehti Hai , Suno Farhat! Tumhara Khwab Kyun Toota
Main Kehta Hoon, Sarabi! Dil Mein Koi Kheench Parhti Thi
Tumhari Shairy Mein Zindagi Ki Siskiyan Kyun Hain
Main Bola, Aansuon Ki Ibtadayi Shakal Joh Thehri
Woh Kehti Hai Ke Farhat Shah Main Kuch Muztarib Si Hoon
Main Kehta Hoon, Sarabi! Tum To Meri Rooh Jaisi Ho

urdu poetry Woh Boli, Dil Ko Koi Be-Wajah Sa Khauf Rehta Hai
Main Bola, Ishq To Be-Baak Logon Ka Hi Shewa Hai
Mohabbat Eik Pal Bhi Sukh Nahi Deti, Kaha Us Ne
Kaha MAin Ne, Mohabbat Ke Ilawa Kaun Sa Sukh Hai
Mohabbat Shehar Bhar Mein Goonj Jaati Hai, Kaha Us Ne
Kaha Main Ne, Mohabbat Ke Chupa Rehne Ki Khwaish Kiya
Mohabbat Chup Nahi Rehti Kisi Pal Bhi, Kaha Us Nne
Kaha Mmain Ne, Mohabbat Bin To Kayinaat Goongi Hai
Mohabbat Zehan Ka Ik Khaas Aalim Hai, Kaha Us Ne
Kaha Main Ne, Mohabbat Rooh Ki Dehleez Hoti Hai
Mohabbat Be-Sabab Tarpaye Rakhti Hai, Kaha Us Ne
Kaha Main Ne Ke Yeh Asbaab Kya Shai Hai Mohabbat Mein
Woh Kehti Hai Sitaare Aansuon Mmein Kyun Chamakte Hain
Main Kehta Hoon Mohabbat Roshni Mein Rang Bharti Hai
Woh Kehti Hai, Hawa Ke Haath Mein Kya Kya Nahi Aata
Main Kehta Hoon, Jo Dehleezon Ke Andar Dafan Hota Hai
Woh Kehti Hai, amaane Ko Dilon Se Ranj Kyunkar Hai
Main Kehta Hoon, Yeh Aazar To Sadiyon Ki Qismat Hai

urdu poetry Main Bola, Dard Ke Maare Huon Ko Chain Milta Hai
Woh Boli, Rooh Ki Aasodgi Ko Kya Zaroori Hai
Main Bola, Rooh Ko Aalodgi Achi Nahin Lagti
Woh Boli, Chand Ki Aur Chandni Ki Kya Kahani Hai
Main Bola, Aadam-o-Hawa Kki Chahat Ki Nishaani Hai
Woh Boli, Be-Saropa Khwaishein Beemar Rakhti Hain
Main Bola, Aadmi Andoa Ke Batin Se Nikla Hai
Woh Boli, Door Reh Ker Dard Barh Jata Hai Seene Mein
Main Bola, Qurbatein Bhi Hijar Ke Khudshe Barhaati Hain
Woh Boli, Shaam Hote Hi Udaasi Phail Jaati Hai
Main Bola, Raat Bhi To Aansuon Se Ishq Karti Hai
Woh Boli, Zindagi Mein Tu Nahi To Zindagi Kab Hai
Main Bola, Har Taraf Ik La-Ubali Maut Hadwi Hai
Woh Boli, Ishq Ka Apna Ilehda Rang Hota Hai
Main Bola, Rang Ka Apna Ilehda Ishq Hota Hai

urdu poetry Woh Boli, Dil Ko Koi Be-Yakeeni Hai Mohabbat Mein
Main Bola, Theek Hai Per Ishq To Imaan Hota Hai
Woh Boli, Aarzuein Dil Ke Andsar Been Karti Hain
Main Bola, Theek Hai Mujh Ko Sunayi Dete Hain
Woh Boli, Hum To Jaise Eik Musalsal Dukh Ke Qaidi Hain
Main Bola, Theek Hai Yeh Zindagi Dukh Ka Tasalsul Hai
Woh Boli, Koi Shab To Khwab Mein Bhi Khwab Aate Hain
Main Bola, Theek Hai Kuch Hasratein Aise Bhi Karti Hain
Woh Boli, Baarishon Mein Aur Zyada Jaan Sulagti Hai
Main Bola, Theek Hai Yeh Aag Paani Ke Masail Hain
Woh Boli, Raat Kyun Mushkil Se Kat’ti Hai Judai Mein
Main Bola, Waqt To Kaifyaton Ka Naam Hota Hai
Woh Boli, Chahaton Mein Dard Ke Rehne Ki Khwaish Kyun

urdu poetry Choodiyon ki chan-chan me teri, yeh dil atak gaya hai mera,
dekhta hoon main jis taraf bhi, chehra nazar aata hai tera…..
in choodiyon ko rakhna tum zara sambhaal ke e-mere sanam,
kahin toot na jaye choodi sang, yeh nadaan dil hai mera………
madhosh hua jata hoon, dekhta hoon choodiyon ki chamak teri,
yeh chamak tadpati hai mujhe, aur yeh dil tarasta hai mera…..
payal bhi teri choodi sang, bulati hai mujhe itra ke is kadar,
bas seene se lipat jaun tere sanam, yahi dil chahta hai mera……
Choodiyon ko Khanka kar, Labon ko Daanton Tale Daba ke,
payal ko jhanka kar, aag mohabbat ki mujhme lagana tera…….
yeh bindiya ki chamak kheench leti mujhe baahon me teri,
haye! yeh muskurakar phir seene se mere yun lipat jana tera

urdu poetry Tumhain zid hai k main keh dun
Muje zid hai k tum keh do
“Muje tum se mohabbat hai”
Kaho muj se mohabbat hai
Nahin ye jantay donon
Mohabbat kab muhtaj hai lafzon ki ‘ baton ki
Mohabbat to humari dharkh’non k saas main shamil
Sureelay geet ki manind
Mohabbat yaad ki daivi
Jo tanha raat ko akser aati hai ankhon main
Mohabbat muskarahat hai
Haseen nazuk se honton main
Mohabbat san’dli hathon ki nazuk lerzashon main hai
Mohabbat soch ki gehrion se phoot’ti khushboo
Hamesha saath rehti hai
Mohabbat aankh main palta wo purasrar jazba
Jisse ab tak na koi samj paya
Na is ki koi surat hai
Na is ka koi pemaina
Dhakhe alfaz main is ka boht izhar hota hai
Kuch aise hi k jaise ab
Tah-e-dil se to hum donon iqrar kerte hain
Magar phir b na-jane kiun
Tumhain zid hai k main keh dun
Muje zid hai k tum keh do
Muje tum se mohabbat hai
Kaho muj se mohabbat hai !!!

urdu poetry “Barson ki chaht ko ek pal main badlte dekha humne
“Toot ker chahne walon ko baat se mukarte dekha humne
“Naz karty thy jo apni wafaon par
“Unhe ko bewafai karty dekha humne
“Kaisy saja lain sapny apni udaas ankhon main
“Har khawab ko took kar bikharty dekha humne
“Tanha”


urdu poetry Apni Aankhon Ke Samunder Mein Utar Jaaney De
Tera Mujrim hoon, Mujhey Doob Ke Mur Jaaney De
wada hai tum yaad kiya karogi mujhe mujhse bhi jiyada
bus ek baar tere naam per fanah ho jane de

urdu poetry Fizaon Se Phool Kabhi Tutte Nahi,
Dilse Dil Kabhi Ruthte Nahi,
Naam To Puchhte Hai Begano Ka Is Jahan Mein,
Apno Se Naam Kabhi Puchhte Nahi

urdu poetry Kahan se loon ab hunar usay mananay ka,
k koi jawaz na tha us k rooth janay ka.
Mohabbaton mai saza mujhay he milni the,
k jurm men ne kia raabtay barhanay ka…

urdu poetry KaseY BaTaon Mein Tumhein
Mere LiYa Tum Kon Ho ?
KaseY BaTaon ?
KaseY BaTaon Mein Tumhein
Tum Dharkanon Ka GeeT Ho
Jewan Ka Tum SanGeeT Ho
Tum Zindagi
Tum Bandagi
Tum Roshni
Tum Tazagi
Tum Har Khushi
Tum PiYar Ho
Tum PareeT Ho
Tum Man MeeT Ho
Ankhon Mein Tum
Yadoon Mein Tum
Sansoo Mein Tum
Aaho Mein Tum
Nendoo Mein Tum
Khawabo Mein Tum
Tum Ho Meri Har BaaT Mein
Tum Ho Mere Din RaaT Mein
Tum Subha Mein
Tum Sham Mein
Tum Soch Mein
Tum Kam Mein
Jao Kahein
Dekhoo Kahein
Tum Ho Waha
Tum Ho Yahi
Zulfein GhaTaon Se MelleY
HoTon Mein KaliYan Khel Gai
Ankhoo Ko Jheli Mil Gai
Chahrey Mein SemTi Chandani
Aawaz Mein Hai Ragani
ShesheY k Jasa Rop Hai
Phool K Jasa Rang Hai
NadiYon Ki Jasi Chal Hai
kiYa Husan Hai KiYa Hal Hai
Yeh Jisam Ki RangeniYa
JaseY HazaRoon TeTliYa
Bahon Ki Yh GolaiYa
Anchal Mein Yeh ParchaiYa
KaseY BaTaon Mein Tumhein
Mere LiYa Tum Kon Ho

urdu poetry Sochta hon key usey neend bhi aati hogi
Ya faqat meri tarah ashk bahaati hogi
Woh meri shakal mera naam bhulaaney wali
Apni tasveer sey kya aankh milaati hogi
Us zameen per bhi hain sailaab merey ashkoun key
Merey maatam ki sadaa arsh hilaati hogi
Sham hotey hi wo chaukhat pey chala kar shammaein
Apni palkon pey kayi khuwaab sajaati hogi
Us ney silwaa bhi liye hongey siyaah rang libaas
Ab Moharram ki tarah Eid manaati hogi
hoti hogi merey bosay ki talab main paagal
Jab bhi zulfon main koi phool sajaati hogi
Merey tareek zamanoun sey nikalney wali
Rooshni tujhko meri yaad dilaati hogi
Dil ki masoom ragein khud hi sulagti hongi
Juhin tasveer ka kona wo jalaati hogi
Roop dey kar mujhey is main kisi shehzadey ka
Bachon ko kahaaniyaan woh sunaati hogi

urdu poetry Kal ajab sa saneiha hua rait per
tera naam na likh saka rait per
kis ki awaz se tham gaye hein kadam
phir se kis ne mujhe di sadaa rait per
us ki aankho se sholey nikalte rahe
nachti rah gai kal ghata rait per
tu ney jo bhi hawa se kaha rah gaya
mit gaya maine jo bhi likha rait per
ab yeh sahra hi tere muqader mei hein
tu ney mangi hi kiyon thi dua rait per
aik shola utha us jaga sey ALI
mera ansoo jahan gir gaya rait per

Subscribe to this Blog via Email :