Friday, July 31, 2015

Romantic Urdu Poetry, Part-28

·

colorful butterfly Kabhi nazar se gira diya
Kabhi dil mein basa diya
Mohabbat mein tum ne humein

Kabhi hasaya toh kabhi rola diya
Kabhi pyaar be shumar kiya
Kabhi dard be inteha diya
Apni diwangi mein tumne humhein
Kiss makaam par puocha diya
Kabhi musaan mein bhar se mila diya
Kabhi sehra mein tanha kar diya
Dil ko khilona samajh kar tumne
Humein har khel mein hara diya
Kabhi umeedo ko barha diya
Kabhi mayousiyo ne jena duswaar kiya
Phir bhi humdum humne tumhein
Pyaar ki had se zyada pyaar kiya!!!

colorful butterfly Kitni shiddat se tumhe pane ki koshish ki hai ki,
Har zarre ne mujhe tumse milane ki saazish ki hai,
Kehte hai agar kisi cheez ko dil se chaho toh,
Saari kayanath tumhe usse milane ki koshish mein lag jaati hai,
Aaj aap sabne milke mujhe meri chahat se milaya.

colorful butterfly Dil ki tadap ankhoo se bayan kar du,
Tu kahe to zindagi tere naam kar du,
Bas mang aaj, tere dil mein jo hai,
Kuch bhi ho tujhe per kurban kar du,
Kyu darta hai fasloo se tu,
Tu bol toh judai hi katam kar du,
Mehsoos kiya hai tuje har pal,
Tu kahe to yeh ehsaas tuje kara du,
Tera mera bandan to dil aur dakhan jaisa hai,
Phir mat khena fasloo ka hona,
Hamare risthe se baada hai!!!

colorful butterfly Kuch tumne kaha jo baaton baaton mein
Bekaraar dil ko sukoon aaya hai abhi abhi
Iss dil mein ek phool khila hai abhi abhi
Mujhko tera paygam mila hai abhi abhi
Kiss roshni se jagmaga raha hai ghar mera
Ummeed ka chirag jala hai abhi abhi
Khilti hui kali ne mujhe di hai yeh khabar
Dil ka haseen raaj khula hai abhi

colorful butterfly Mera Maqsad Bithana Tha, Usy Jane Ki Jaldi Thi
Mujy Dukhra Sunana Tha, Usy Jane Ki Jaldi Thi
Nahi Tha Waqt Us K Pas,K Sunta Dastan Mri,
Bra Lmba Fsana Tha, Usy Jane Ki Jaldi Thi
Bri Muddat Ki Khwahish Thi Magr Pyasa Raha MOHSIN
Galay UsKo Lgana Tha, Usy Jane Ki Jaldi Thi..

colorful butterfly Kitna ikhtiyar tha us ko apni chahat pe,
Jb chaha yad kya jb chaha bhula dya.
Janta tha mujhko behlane k har andaz,
Jb chaha hansa dya jb chaha rula dya

colorful butterfly Kabi himat to kabi hosly sy har gaye,
Hum badnaseb thy jo hr kisi sy har gaye
Ajeb khel ka medan hai ye dunya SANM,
K jisko jeet chuky the usi sy har gaye.

colorful butterfly Zinda thay jiski aas pe vo b bhula gaya.
Bandhan vafa k tor k sary chala gaya.
Khud hi to ki thi usny mhbt ki ibtada.
Hatho mai hath dy kr vo khud hi chura gaya

colorful butterfly Mohabbat Muqaddar Hai Ek Khuwaab Nahi,
Ye Wo Rishta Hai
Jis Me Sab Kamiyab Nhi,
Jinhe Sath Mila
Unhe Ungliyon Pr Gin Lo,
Jinhe Mili Judaai Unka Koi Hisaab Nahi.

colorful butterfly Taqdeer Ka Rang Kitna Ajeeb Hai
Anjana Rishta Hai Phir Bhi qareeb Hai
Har Kisi Ko DöST Aap Jaisa Nahi Milta
Mujhe Aäp Mile Yeh Merä Näseeb Häi

colorful butterfly Mari har sansh main bus chuki hai
tery pyar ki khushbooMunh khulta hai tu zuban kehti hai.
I love u

colorful butterfly Dil Pe Qabuu Tab Kahaan Ho Ga
Un Se milne ka jab samaan Ho Ga
Jhoom uthain ge sab haseen manzar
Badla Badla Sa Ye Jahaan Ho Ga
Chaand ke Jaisi Saje Gi Ye Dharti
Nikhra Nikhraa Sa Aasmaan Ho Ga
Baat Ban Na Sake Gi Kuch Hum Se
Aise Aalam Ma Kya Bayaan Ho Ga

colorful butterfly Ab Ki Baras Bhi Who Nahin Aayaa Bahaar Mein,,
Guzarega Aur Ek Baras Intizaar Mein,,
Ye Aag Ishq Ki Hai Bujhaane Se Kya Bujhe,,
Dil Tere Bas Mein Hai Na Mere Ikhtiyaar Mein,,
Hai Tute Dil Mein Teri Mohabbat Tera Khayaal,,
Khush-Rang Hai Bahaar Jo Guzari Bahaar Mein,,
Aansu Nahin Hai Aankhon Mein Lekin Tere Bagair,,
Who Kaanpte Hue Hain Dil-E-Beqaraar Mein……nm

colorful butterfly Aaeina Toot Jaaye
Bikhar Jaata Hai Har Chehra
Magar Jab Toot’ta Hai Dil
To Hoti Hai BaRi Mushkil
Na Milta Hai Manjhdhaar Us Ko
Na Milta Hai Usse Saahil
Zindagi Dar’Badar Ki
Kasauti Zindagi Ki

colorful butterfly Mujhe Aaj Bhi yaad Hai
Wo Sardiyu Ki Sard Sham,
Jab Us Ne Mera Hath Pakaa
Aur Kaha,
Tumhare Hath Buhat Garam
Hai,
Or Ye Wafadar Logo Ki
Nishani Hoti Hai,
Me Buhat Kush Hua.
Itna Ke Ye Bhi Bhool
Gya Ke Us Sham Us Ke
Hath Kitne Sard Thay..

colorful butterfly uske hatho’n se jo khubshbu e hina aati hai
aisa lagta hai k jannat se hawa aati hai
chumne daar ko kiss dhaj se chala hai koi
aaj kiss naaz se maqtal mai qaza aati hai
na kabhi koi karey tujhse terey jaisa sulook
hath uth’te hee yahi labb pe dua aati hai
terey ghamko ye barhana nahee rehne daiti
meri aankho’n pe jin ashko’n ki rida aati hai
uskey chehre ki tamazat bhi shamil ismey
aaj tapti hui sawan ki ghata aati hai
ghumne jabb bhi tere shehr mai jaati hai wafa
bain karti hui wapis wo sada aati hai

colorful butterfly “Bano jo DOST to phir sirf
WAFA ho jao
:
Bano jo PYAR to phir had se
FIDA ho jao
:
Bano jo DIL to DHARKAN ki
SADA ho jao
:
Bano jo ZULF to Baadal ki
GHATA ho jao
:
Bano jo KHOON
To rag rag main
RAWAN ho jao
:
Bano jo DARD
Tu zakhmon ki
DAWA ho jao
:
Bano jo HATH to phir
DAST-E-DUA ho jao
:
Bano jo HUSN to pakiza
HAYA ho jao
:
Bano jo JAAN to phir
JAAN-E-WAFA ho jao
:
Bano jo “MERE” to duniya se KHAFA ho jao”.

colorful butterfly Lamha Lamha Tere Wajood Main Basar Hota
khoob Hota jo Main Teri Rooh ka Mehwar Hota
Teri in jheeL Si Ankhon Main Mera Ghar Hota
Teri Ankhen jo Dekhti Main Wo Manzar Hota
kabhi Patjhar
kabhi Rim jhim
kabhi Sawan
kabhi BadaL
kabhi Panchi
kabhi Amber Hota
Teri Umeed ka HasiL
Teri koshish ka SiLa
Main Tere ishQ
Tere Sabar ka
Samar Hota
Kia khoob Hota jo Main Teri Rooh ka Mehwar Hota
“KAASH”
Lamha Lamha Tere Wajood Main Basar Hota.

colorful butterfly Suno ! “Yun chup se na raha karo” “Yon khamosh se jo ho jate ho” “Dil ko wehm sa ho jata he” “Kahin khafa to nahi ho” “Kahin udaas to nahi ho” “Tum bolte ache lagte ho” “Tum dant’tay achey lagte ho” “Kabhi shrarat se” “Kabhi ghusey se” “Tum hanste ache lagte ho” “Suno! Yun chup se na raha kro.


colorful butterfly Masroof hai din raat usay waqt kahan hai
Wo mujsay karay bat usay waqt kahan hai
Baitabi- e- dil ka usay andaza nhi hai
Samjhay meray jazbat usay waqt kahan hai
Wo poonchay meri aankh say behtay huay aansu
Ay rang- e- barsat usay waqt kahan hai
Bhoolay say wo pochnay meray halaat
Ay Grdish- e- Halat Usay waqt kahan hai
Mojon mai tadapta hua mai doob raha hun
Thamay wo mera hath usay waqt kahan ha

Subscribe to this Blog via Email :