Friday, July 31, 2015

Romantic Urdu Poetry, Part-27

·

butterflyMeri Aankhon Ke SaMundar Mein Jalan Kaisi Hai,
Aaj Phir Dilko Tadapne Ki Lagan Kaisi Hia,

Ab Kisi Chhat Pe Charagon Ki Qatarein Bhi Nahi,
Ab Tere Sheher Ki Galiyon Mein Ghutan Kaisi Hia,
Barf Ke Roop Mein Dhal Jayenge Saare Rishte,
Mujhse Puchho Ke Mohabbat Ki Agan Kaisi Hia,
Main Tere Visl Ki Khwahish Ko Na MARNE Dunga,
MausaM-E-Hijr Ki Lehje Mein Thakan Kaisi Hia,
Rehguzaron Mein Jo Banti Rahi Kaanton Ki Rida,
Uski Majboor Si Aankhon Mein Kiran Kaisi Hai,
Mujhe MasooM Si Ladki Pe Taras Aata Hai,
Ise Dekho To Mohabbat Mein Magan Kaisi Hia…

butterflyKUN TUM SE ITNA PIYAAR HAI!!?
jab bi kabi main sochta hn
phr se tumhain khojta hn
hai ye meri zindgi ya jeeti hui laash
ya is be lagaam dil ko teri hai talaash
bheeti hui shamein ya bheetay huve wo din
shaid tere bicha
e ki der thi sab kuch gia chin
wo anghan ki surkh eentain
wo barish ki naram cheentain
anghan ki wo hari beil
tere gesuon ki ik jheil
wo peepal k surkh pattay
jin k talay thy hm hanstay
tera wo rooth jana
phr tumhain manaana
wo din the bare ache
wo acha tha zamaana
tum muskra k jab jate thy
aye yar mar jate thy
hr jeet teri hoti thi
hr haar thi hmaari
us haar jane mein
ik jeet thi hmaari
ankhein jo theen hmaari
to hr adaa thi tumhari
MERA AAJ BI TUM SE YE SAWAL HAI?
KUN TUMSE ITNA PIYAAR HAI!!?

butterflyTum Bhi Janaan Kamaal Kartay Ho
Kaisay Kaisay Sawaal kartay Ho??
Ek Pal Mai He Tout Jati Hoon
Kaisi Tum Dekh Bhaal Kartay Ho
Jhoot Sabit Na Kar Saqay Koi
Guftugoo Ba-Kamaal Kartay Ho
Roog Jitnay Thay Meray Naam Keye
Mera Kitna Kehyaal Kartay Ho
Tarq-e-Ulfut Ko Gerchay Arsa Howa
Dil Ko Ab Bhi Nidhaal Kartay Ho

butterflyMain Asi Mohabat Karta Hoon
Tum kaysi mohabat karti Ho
Jab Ghata kahin pay chati hai
Jab phool kahin pay kilta hai
Jab koyal kahin pay kok ti hai
Jab pacnhi geet suna tay hain
tu yaad tumari ati hai
Or Samnay tum ko pata hoon
baytab sa main ho jata hoon
Har manzar pay chaa jatay ho
Jab yaad bohat tum atay ho
Main khud ko bhol sa jat hoon
Or kudh ko tum main pata hoon
Main Asi Mohabat karta hoon
Tum kaysi Mohabat karti ho

butterfly~~~Sunno~~~
Parhai Par Tawajo Do
Kitaabon Main Gulabon Ko
Kabhi Bhoolay Say Mat Rakhana
Kitabain Jab Bhi Kholo Gi
Yeh Kanton ki Tarhan Dil Main
Chubhain Gay Khoon Bahayen Ge
Tumhain Pehron Satayen Ge
Kisi Ko Khat Nahin Likna
Likhai Pakri Jati Hai
Bari Ruswai Hoti Hai
Kisi Ko Phone Mat KaRNa
Sadayen Dil Dukhati Hain
Woh Awaazain Satati Hain
Meri Nazmain Nahin Parhna
Yeh Mehshar Utha Dein Gi
Tumhain Pagal Bana Dein Gi
Suno Larki
~Meri Mano~

butterflyye arzoo hai ki jab bhi gale lagaoon use
hisaar-e-zaat se baahar nikaal laoon use
vo jal raha tha kari dhoop ki tamazat mn
mila jo ab to odaah doongi apani chaoon use
ye ishq bhi hai ajab imtihaan-e-ahad-e-vafaa
vo azamaye mujhe aur main azmaoon use
vo shahar shahar chiraagan sahii magar ek din
havayen yaad dilayengii apana gaoon use
vo apane Khvaab mn shayad mujhii ko dekhata ho
main tashna_lab sahii sote mn kya jagaon use

butterflySuno ae chaand c larki Abhi tum keh rahi thi na
Tumhain mujh se muhubbat ho nahi sakti
Chalo mana k yeh such hai Magar
Aye chaand c lerki
..
Mujhe itna batao tum K jub mosam badalte hain
Gulon main rang bharte hain
To phir kiun muztarib ho kar
Akele pan se ghabra kar
Hawa ko raaz deti ho Mujhe awaaz deti ho
Suno Aye chaand c lerki
Tumhare saamne koi mera jub naam leta hai
To phir kiun chonk jaati ho
Chalo mana tumhain mujhse muhubbat ho nahi sakti
Magar itna samajh lo tum Jahan chahat nahi hoti
Wahan nafrat k hone ka koi imkan nahi hota
Mera dawa hay chahat main Jahan nafrat nahi hoti
Wahan aksar ye dekha hai Agar kuch waqt kut jaye
Samay ki dhool chat jaye
To wehshat bhaag jati hai Muhubbat jaag jati hay…. !!

butterflyaghaz yun hoa tha,
us nay ghulaab bheja
main nay kitab kholi
aur us main rakh diya woh,
sab say usay chupaya,
anjam yeh hoa hy…
kuch khusk patiyan hyn
thori si mehek bhi hy,
bas,
or kuch nhi……..!!!

butterflypayar to zindagi ko sajany k liy hai.
par zindagi bas dard barhany k liy hai.
mery andar ki udasi kaash koi to parhy.
ye hansta hua chehra to zmany k liy hai,,,,:)

butterfly“JIA” WO LAFZ HI MERI ZINDAGI KAY.
.
.
.
.
.
JO KHABI FARAMOSH HO NAHIN SAKTA…….

butterflyIshq jab dam toRta tha tum na the
Maut jab sar dhun rahi thi ma na tha
Toor par cheRa tha jis ne aap ko
Wo meri deevaangi thi ma na tha
Maikade ke moR par rukti huii
Muddaton ki tashnagi thi ma na tha
Ma aur us guncha’dahan ki aarzuu
Aarzuu ki saadgi thi ma na tha
Gaisuuon ke saaye ma aaraam’kash
Sar barahna zindagi thi ma na tha
Dair-o-kaaba ma Adam hairat farosh
Do jahaan ki bad’zani thi ma na tha

butterflyYoon tujhe dhoondhne nikle ke na aaye khud bhi
Wo musaafir ke jo manzil the bajaaye khud bhi
Kitne ghum the ke zamaane se chupaa rakhe the
Is tarah se ke hamein yaad na aaye khud bhi
Aisa zaalim ke agar zikr ma us ke koii zulm
Ham se reh jaaye to wo yaad dilaaye khud bhi
Lutf to jab hai ta’alluq ma ke wo shehar-e-jamaal
Kabhi kheinche, kabhi khinchta chala aaye khud bhi
Aisa saaqi ho to phir dekhiye rung-e-mehfil
Sab ko madhosh kare hosh se jaaye khud bhi
Yaar se hum ko taghaaful ka gila kyoon ho ke hum
Baar’haa mehfil-e-jaanaan se uth aaye khud bhi

butterflyBand sheeshon ke pare daikh
Dareeche ke udhar
Sab’z peRon pe ghani shaakhon pe
Phoolon pe wahaan
Kaise chup’chaap barasta hai musalsal paani
Kitni aawaazein hain
Ye log hain
Ye baatein hain
Magar zeh’n ke peeche kisi aur hi sateh pe kahein
Jaise chup’chaap barasta hai tasavvur tiara

butterflyAao Chalein
Tanhaaiyon Ke Safar Pe
Hum
Jahan Manzilein Hain
Na Raaste
Duriyan Hain Na Faasle
Jahan Koi Bhi Be’wafa Nahi
Jahan Dard-o-Ghum
Jaata Nahi
Jahan Pyaar Hai Na
Qasam Koi
Iqraar Hai na Bharam Koi
Jahan Dil Koi Jalta Nahi
Be’Maut Koi Marta Nahi
Aao Chalo Mere Saath Tum
Mere Humsafar
Mere Khwaab Tum
Aao Chalo Mere Saath Tum

butterflyKitni Zulfain Khulein, Kitne Aanchal URe, Chaand Ko Kya Khaber
Kitna Maatam Hua, Kitne Aansoo Bahe, Chaand Ko Kya Khaber
Muddaton Us Ki Khwaahish Ma Chalte Rahe, Haath Aata Nahi
Chaah Ma Us Ki Pairon Ma Hain Aable, Chaand Ko Kya Khaber
Wo Jo Nikla Nahi Hai To Bhatakte Rahe Hain, Musafir Kaii
Aur Lut’te Rahe Hain Kaii Qaafle, Chaand Ko Kya Khaber
Wo To Apni Hi Nigri Ma Madhosh Hai, Kab Se Khaamosh Hai
Kon Raaja Bana, Kitne Sayed Lute, Chaand Ko Kya Khaber
Us Ko Daawa Bohat Meethe’Pan Ka Wasi, Chaandni Se Kaho
Us Ki KIRNon Se Kitne Hi Ghar Jal Gaye, Chaand Ko Kya Khaber

butterflyMuhabbat Aap Jaisi Hay
Muje Sub Log Kehte Hain
Muhabbat Jaante Ho Tum?
Muhabbat Maante Ho Tum?
Muhabbat Aag Jaisi Hay
Jo Jalti Hay To Bujhti Nahi
Muhababt Geet Jaisi Hay
Kaii Saazon Pe Mabni Hay
Muhabbat Rangon Ki Titlii
Jo Khushbuu Dhoond Laiti Hay
Magar Kyun MujhKo Lagta Hay
Ye Saare Lafz Jhootay Hain
Aagar Such Hay
To Bus Ye Hay
Muhabbat Aap Jaisi Hay
Kabhi Gumsum
Kabhi Chanchal
Kabhi Jugnuu
Kabhi Baadal
Kabhi Ye Neend Hay To
Kabhi Ye Khwaab Jaisi Hay
Muhabbat Aap Jaisi Hay

butterflyRuk Jaao Mujhe Kuch Kehna Hai
Tumhein Pyaar Bhi ThoRa Daina Hai
Phir Apna Rasta chalna Hai
Jis Raste Per Chaaya Bhi Nahi
Aur Tum Bhi Nahi
Bus Yaad Tumhaare Saath rahe
Yoon Jaise Dil Pe Haath Rahe
Kuch Dard Ka Bhi Ehsaas Rahe
Ruk Jaao Ye Tohfa Laina Hai
Bus Pal Do Pal Tum Saath Raho
Phir Be’Shak Door Chale Jaana
Phir Laut Ke Bhi Tum Na Aana
Bus Yaad Amar Ho jaane Do
Aik Lambi Um’r Judaai Ki
Us Saath Se Pehle Kati Hai
Is Pyaaar Ke Baad Guzarein Ge
Bus Is Pal Mere Saath Raho
Aur Ye Pal Kaash Thehar Jaaye

butterflyApni haseen Aankhon me chupalo mujko
Mohabbat agar karte ho to churalo mujko
Khone ka agar khoof hoto meri jan
DiL ki har dharkan me basalo mujko
Dhoop ho ya sehra ho tere sath chalongi
Yaqin na hoto Aazmalo mujko
Tere har dukh ko seh looge hans kar
Agar Apne badan ki chaadar banalo mujko
Sahil say pehle chor to na do ge wada karo
abhi agaz-e-safar me hoon bata do mujko
Zindagi bhi tere nam kar donge
Bus chand lamhe senay se laga lo mujh ko

butterflyNigahon k tasaadum se,
ajab takrar karti hai,
yaqin kamil nahi lekin,
gumaan hai pyar karti hai..
laraz jata hoon mein ye soch k kafir na ho jaon,
tabiat us ki pooja k liye bara israar karti hai..
usay maloom hai shayad mera DIL hai nishane par,
labon se kuch nahi kehti,
nazar se waar karti hai..
mein us se poochta hoon khuwab mein,
“mujh se mohabat hai.?”
phir aankhen khol deta hoon,
wo jab izhaar karti hai…..!!

butterflyPal pal tarse the uss pal k liye,
Pal aaya bhi to kuch pal k liye,
Socha tha usse zindagi ka ek hasin pal banalenge,
Par wo pal ruka bhi to ek pal k liye

Subscribe to this Blog via Email :