Friday, July 31, 2015

Love Urdu Poetry, Part-08

·

butterflykoi aisa pyar ka bazaar hota
jis main nilaam wo sar-e-bazar hota
hum usy khareedty sab juch beech kar
aur phir dekhty kesy wo kisi aur k naam hota

butterflyLabon pe hansi ankhon main sawal rakhta tha
is zarf main itna kamal rakhta tha
kia khaber thi mujhy hi bhool jae ga
jo meri ik ik cheez sanbhal rakhta tha
suna hai log ab boht sataty hain usy
main jis ka itna khyal rakhta tha

butterflyvo aur honge jinhe khwaabon ki ahmiyat nahi malum
ye aisa savera hai jiska sooraj nahi dooba karta hai
pehlu e khwaab me baithkar isse hi jo thodi baat ho
phir us sada ko dil kabhi nahi besada karta hai

butterflyutar ke dil me phir rooh me utar sa jata hai
khwaab ka haasil bhi madhosi me simat sa jata hai
chandni raat ho ya shabnami savera
bhoola hua raahi inse raah pa jata hai

butterflykhwaabon ke shahar me khwaabon ka maqaan hai
khwaabon ke maqaan me khwaab sa husn hain
husn ki aakhon me jannat sa nasha hai
husn ki baaton se mahka mahka sama hai
husn ke andaaz had se haseen hain
khumari ke kadam behad haseen hain..

butterflydayaar-e-Gair mein kaise tujhe sadaa dete
tu mil bhi jata to tujhe gaNvaa dete
tum hi ne hum ko sunaya na apnaa dukh varanaa
duaa vo karate ke hum aasmaan hilaa dete
hamen ye zam raha ab ke vo pukaarenge
unhein ye zid thi ke har baar hum sadaa dete
vo tera Gam tha ke taaseer mere […]

butterflySamandar maiN uttar’ta hooN to aankhaiN bheeg jaati haiN
teri aankhoN ko parhtaa hooN to aankhaiN bheeg jaati haiN
Tumhara naam lekhnay ki ijaazat chhen ga’ee jab say
koi bhi lafz lekhta hooN to aankhaiN bheeg jaati haiN
Teri yaadoN ki khushbu khirk’yo maiN raqs karti hai
tere gham maiN sulgta hooN to aankhaiN bheeg jaati haiN

butterflykabhi yaad aao to is tarah
ke lahoo ki saree tamaazataiN
tumhaiN dhoop dhoop samaiT laiN
tumhaiN rang rang nikhar daiN
tumhaiN harf harf sooch laiN
tumhaiN dekhney ka jo shouq ho
to diyaar-e-hijar ki teergee !
ko_mijah ki nook se nooch laiN
na ujad.r sakaiN na sanvar sakaiN
kabhi dil dukhaoo …. to is tarah
na simaT sakaiN na bikhar sakaiN
kabhi bhool jao …. to is tarah
kisi taur jaaN se guzar sakaiN
kabhi yaad aooooo to is tarah

butterflyUss ne door rehne ka mashwara bhi likha hai,
Sath hi mohaabat ka wasta bhi likha hai…
Uss ne yeh bhi likha hai mere ghar nahin aana,
Saaf saaf lafzon mein raasta bhi likha hai…
Kuch haroof likhe hain zabt ki naseehat mein,
Kuch haroof mein uss ne hosla bhi likha hai…
Shukria bhi likha hai dil se yaad KRNe ka,
Dil se dil ka hai kitna fasla bhi likha hai…
Kya usse likhen MOHSIN kya usse khen MOHSIN,
Jiss ne kr k be jan phr jaan e jan bhi likha hai

butterflyChehray parrhta aankhein likhta rehta hun
Main bhi kaisi baatein likhta rehta hun
Saaray jism darkhton jaisay lagtay hain
Aur Baanhon ko shaakehin likhta rehta hun
Tujh ko khat likhnay k taiwer bhool gaye
Aarrhi tirchi sitrein likhta rehta hun
Teray hijr mein aur mujhy kaya KERNA hai
Teray naam kitaabein likhta rehta hun
Us ki bheegi palkein hansti rehti hain
Mohsin jab tak ghazlein likhta rehta hun

butterflyWo jahan kaheen bi jayega,
Palat kar mere
paas hi aayega,
Wo to meri mohabbaton ka
aadi hai,!!!
Koi aur usay kaise khush rakh paayega….

butterflyMeri Bateen
Meri Muskurahat
Meri Shararat
Meri Chahat
Meri Saansen
Meri Dharkan
Meri Mohabbat
Shayed!
Tumhay Yaad Aa Jaye K
Tumhay Bhi Mujh Se Mohabbat Thi
Tumhari Bhi Ek Khowahish Thi
Tumhari Bhi Ek Tamanna Thi
Tumhari Bhi Ek Aarzoo Thi
Shayed!
Tumhay Yaad Aa Jaye K
Tumhay Bhi Mujh Se Mohabbat Thi
Ek Baar Sirf Ek Baar Kabhi Sochna Tum Kabhi.

butterflySUB TUMHARAY LIAY
SUB TUMHGARAY LIAY
JAN-E-JAAN YEH JAHAN,YEH ZAMEEN ASMAAAN
YEH MERAY RAAAT DIN ,KHAAAK HAIN TERAY BIN
YEH MERI ZINDAGI,DOSTI DUSHMANI
RAASTAY,WASTAY,SUB TUMHARAY LIAY
SUB TUMGARAY LIAY
TUM Jo DEKHO TO MERAY SHAB-0-ROZ KO
KOI MATLBA MILAY
TUM JO POOCHAY TO MERAY HER IK HARF KO
KOI RUTBA MILLAY,KOI MANSIB MILLAY
TUM JO SOCHO MERAY WASRATAY KUCH BHI
MAIN SITARON KO MUTHI MAIN BHAR LAOONGA
TUM AGAR AIK DIN MUJH KO AWAZ DO
MAIN JAHAN PER BHIHOON, LOUT AAOONGA
YEH MERAY JISM-O-JAAN ,MERAY SHER-O-SUKHAN
MERI TANHAYIAAN
BAZM ARAAEAAAN
AB TUMHARAY LIAY
SUB TUMHARAY LIAY
SUB TUMHARAY LIAY

butterflyKoi lamha bhi kabhi laut kar nahee aaya
Woh shaks aisa gaya phir nazar nahee aaya
Wafa ke dasht mein raasta nahee mila koi
Siwayye gard-e-safar humsafar nahee aaya
Kisi chiraag ne poochi nahee khabbar meri
Koi bhi phool mere naam per nahee aaya
Pallat ker aane lagay shaam ke parinday bhi
Hamara subha ka bhoola magar nahee aaya
Humein yakeen hai Amjad woh wada khilaaf
Yeh umer kaise kategi agar nahee aaya …

butterflyAaNkhoN kaa rang, baat kaa lahjaa badal gayaa
vo shaKhs ek shaam meN kitnaa badal gayaa !
kuch din to meraa aks rahaa aaiine pe naqsh
phir yuN hu’aa ke Khud meraa chehraa badal gayaa
jab apne apne haal pe ham tum na rah sake
to kyaa hu’aa jo hamse zamaanaa badal gayaa
qadmoN tale jo ret bichii thii vo chal paRii
us ne chuRaayaa haath to sehraa badal gayaa
ko’ii bhii chiiz apnii jagah par nahiiN rahii
jaate hi ek shaKhs ke, kyaa kyaa badal gayaa !
ek sar-khushii kii mauj ne kaisaa kiyaa kamaal
vo be-niyaaz, saare kaa saaraa badal gayaa
uThTh kar chalaa gayaa ko’ii vaqfe ke darmiyaaN
pardaa uThThaa to saaraa tamaashaa badal gayaa
hairat se saare lafz use dekhte rahe
baatoN meN apnii baat ko kaisaa badal gayaa
kahne ko ek seh’n meN diivaar hii banii
ghar kii fizaa, makaaN kaa naqshaa badal gayaa
shaayed vafaa ke khel se uktaa gayaa thaa vo
manzil ke paas aa ke jo rastaa badal gayaa

butterflyTum mujhe achi lagti ho
Bas tum mujhe achi lagti ho!
Tum itni sundar ho ke nahi!
Tumhein ik nazar jo dekhe wo
Sudh budh bhole mudhosh rahe
Bas tum mujhe achi lagti ho
Tum has do to moosam badlien
Tum jago to duniya jage
Jhilmil jhilmil manzer hon sab
Aur na sojhe kuch aage
Bas tum ko dekhien, dekhtien jayien
Maloom nahi ke tum itni pyari ho ke nahi
Itni sundar ho ke nahi
Bas tum mujhe achi lagti ho

butterflyUn jheel si gehri ankhon mein ik sham kahin aabad to ho!
Us jheel kinarey pal do pal
Ik khwab ka neela phool khiley!
Woh phool baha dein lehron mein
Ik roz kabhi hum shaam dhaley
Us phool ke behtey rangon mein
Jis waqt larazta chand chaley!
Us waqt kahin un ankhon mein us bisrey pal ki yaad to ho!
Un jheel si gehri ankhon mein ik sham kahin aabad to ho!
Phir chahey umar samandar ki
Her mauj pareshan ho jaye!
Phir chahey ankh dareechey se
Her khwab gurezan ho jaye!
Phir chahey phool ke chehrey ka
Her dard numayan ho jaye!
Us jheel kinarey pal do pal woh roop nagar aijaad to ho!
Din raat ke is aainey mein woh aks kabhi aazad to ho!
Un jheel si gehri ankhon mein ik sham kahin aabad to ho

butterflyUs ke hathon se jo Khushboo-e-Hina aati hai
Aisa lagat hai ke jannat se hawa aati hai
Choomne daar ko kis Dhaj se chala hai koi
Aaj kis naaz se maqtal main qaza aati hai
Na kabhi koi kare tujh se Tere jese sulook
Hath uthtay hi Yehi lab pe dua aati hai
Tere gham ko yeh bar-hana nahi rehne deti
Meri ankhon pe jo ashkon ki rida aati hai
Us ke chehray ki Tamazat bhi hai shaamil is main
Aaj tapti hui saawan ki ghata aati hai
Ghoomnay jab bhi tere shehar main jati hai wafa
Bain karti hui wapis woh sada aati hai
Hai wohi baat har ik lab pe Bohat aam yahan
Hum se jo kehte hue un ko haya aati hai

butterflyMuhabbat ke anokhe they sabhi andaaz, kya karte?
Rahay hum bhi gurezaan, aap bhi naaraaz, kya karte?
Sanam tujh se muhabbat ka bhala aaghaz kya karte
Labon per baat ayi, par na thi aawaaz kya karte?
Mere ahbaab kyaa karte, mere dam-saaz kyaa karte?
Mujhe jab dard hi tha raas, chaara-saaz kya karte?
Hujoom-e-shehr me hum kho… gaye kuch chain paane ko
Akele me satati thi tiree aawaaz kya karte?
Dil-e-naazuk hamara us ne pal me torr Daala tha
Usey bhaati thi toote kaanch ki aawaaz, kya karte?
Ham us ke saamne chup saadh kar baithaa kiye, phir bhi
“Jafaa-kaarii se pesh aaya woh Heelaa-saaz, kyaa karte?”
Saja kar sau tabassum aik Ghum tum se chupati thi
Magar ANMOL ke tum jaan kar woh raaz, kya karte

butterflyTum meri ankh k tewar na bhula paoge
Ankahi bat ko samjhoge to yad aunga
Ham ne khushyon ki tarah dukh bhi ikathe dekhe
Safah-e-zist ko paltoge to yad aunga
Isi andaz mein hote the mukhatib mujh se
Khat kisi aur ko likhoge to yad aunga
Sard raton k mahkate hue sannaton mein
Jab kisi phul ko chumoge to yad aunga
Ab tere ashk main honthon se chura leta hun
Hath se khud inhen ponchoge to yad aunga
Shal pahnayega ab kaun decembar mein tumhen
Barishon mein kabhi bhigo ge to yad aunga
Aj tum mahfil-e-yaran pe ho magrur bahut
Jab kabhi tut k bikhroge to yad aunga
Hadse ayenge jiwan mein to tum ho k nidhal
Kisi diwar ko thamoge to yad aunga
Is mein shamil hai meri bakht ki tariki bhi
Tum siyah rang jo pahnoge to yad aunga

Subscribe to this Blog via Email :